Suwal ?
Bareek Dupatta Ya Tehband (Lungi) Pahen Kar Namaz Hogi Ya Nahi?
Jawab !
Itna Bareek Kapda Jis Se Badan Ke *Aaza Zahir Ho’n Use Pahen Kar Namaz Padhna Jaiz Nahi Chahe Wo Tehband Ho Ya Dupatta,
Hazrat SadarushShariah Rehmatullah’Alaih Tehrir Farmate Hain.
Kuch Log Bareek Saadiya’n Aur Tehband Bandh Kar Namaz Padhte Hain Aur Usme Se Raan Chamakti Hai Unki Namaz Nahi Hoti Aur Aysa Kapda Pahenna Jis Se *Satre’Aurat Na Ho Sake Namaz Ke Alawa Bhi Haraam Hai,
📚Bahare Shariat Hissa 3 Safa 42,
Aur Tehrir Farmate Hain Ke.
Itna Bareek Dupatta Jis Se Baalo’n Ki Seyahi Chamke Aurat Ne Odh Kar Namaz Padhi To Namaz Na Hogi Jab Tak Ke Uspar Koi Aysi Chiz Na Odhe Jis Se Baal Wagairah Ka Rang Chup Jaye,
📚Bahare Shariat Hissa 3 Safa 43,
Aur Fatawa Aalamgiri Ma Kahaniya Jild 1 Safa 60 Par Hai.
الثوب الرقیق الذی یصف ماتحة لا تجوز الصلاۃ فیه کذا فی التبیین
* Yani Agar Kisi Aurat Ne Aysa Bareek Dupatta Odh Kar Namaz Padhi Ke Jisme Baalo Ki Seyahi Chamakti Ho To Jab Tak Uspar Koi Aysa Kapda Na Daal Le Ke Baalo Ki Seyahi Na Chamke Namaz Nahi Hogi,
* AurIsi Tarah Kisi Mard Ne Aysa Tehband (Lungi) Bandha Ke Usme Se Uski Raan Wagairah Aaza Nazar Aaye To Namaz Na Hogi,
*Satre’Aurat. Badan Ke Wo Hisse Jinka Chupana Farz Hai,
*Aaza. Badan Ke Hisse,