Suwal ?
Aadhi Aastin Ke Kapde Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?
Jawab !
Agar Puri Aastin Ka Kapda Paas Me Maujud Hai To Namaz Makrooh Hai. Warna Bila Karahat Jayaz,
Hazrat SadarusShariAh RehmatullahAlaih
Tehrir Farmate Hain.
Jiske Paas Kapde Maujud Ho’n Aur Sirf Aadhi Aastin Ka Kapda Ya Baniyan Pahen Kar Namaz Padhi To *Karahat e Tanzihi Hai.
Aur Agar Kapde Maujud Nahi To Karahat Bhi Nahi Muaf Hai,
Aur Agar Puri Aastin Ke Kapde Ki Aastin Chadha (Upar Mod) Kar Namaz Padhi To Namaz *Makrooh e Tehrimi Hai,
📚 DurreMukhtar Jild 1 Safa 437 Me Hai,
کرہ کفه ای رفعه ولو لتراب کمشمر کم او ذیل و صلاته فی ثیاب بذلة یلبسھا فی بیته ومھنته ای خدمته ان له غیرھا والا لا ،
📚 Fatawa Amjadiya Jild 1 Safa 193,
One comment
Pingback: Qurbani Ke Mutalliq Galat Fehmiya'n Aur Unki Islah • IslamiShariat.com