☞ Kya Huzur Gaus e Aazam Aur Sarkar Gareeb Nawaz Ki Mulaqat Hui Thi?
Abu Jahal Huzur ﷺ Ka Chacha Hai Ya Nahi?
Awam Me Ye Bahut MashHoor Hai Ke Abu Jahal Mustafa Jaan e Rehmat ﷺ Ka Chacha Hai Halanke Ye Sarar Galat Hai,
AbuJahal Huzur Nabi e Akram ﷺ Ka Na To Chacha Hai Aur Na Hi Khandani Kyun Ke AbuJahal Ka Nasab Alag Hai Aur Huzur ﷺ Ka Nasab Mubarak Alag,
☞ Gaus e Aazam Ke Dhobi Ka Qabr Wala Waqya Motbar Hai Ya Nahi?
Sharah e Bukhari Hazrat Allama SharifulHaq Amjadi Farmate Hain,
Wo (AbuJahal) Huzur e Aqdas ﷺ Ka Chacha Tha Ye Bilkul Galat Bhi Hai Aur Musalmano’n Ke Liye IshteAal Angez (Gussa Dilane, Jazbat Ubharne Wala) Bhi,
Abu Jahal Qabila e Bani Makhzoom Ka Tha Aur Huzur e Aqdas ﷺ Bani Hashim Se The. Phir Abu Jahal Huzur e Aqdas ﷺ Ka Chacha Kaise Ho Sakta Hai.
📚 Fatawa Sharah e Bukhari, KitabulAqaid (Aqaid MutaAlliqa Nubuwwat) Jild 1, Safa 411
☞ Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai?
Jaisa Ke Upar Wazeh Ho Gaya Ke Abu Jahal Huzur Nabi e Akram ﷺ Ka Chacha Hargiz Nahi Ke Abu Jahal Qabila e Bani Makhzoom Se Tha Aur Huzur ﷺ Qabila e Bani Hashim Se, Lehaza Abu Jahal Ko Huzur ﷺ Ka Chacha Kehna Bahut Badi Galti Aur Jurm Hai….
( Aap Hazraat Bhi Logo Ko Is Se Aagah Kare’n Aur Is Galat Fehmi o Jehalat Ko Door Kare’n )
✍ Muhammad Rafi Raza Qadri
One comment
Pingback: Mansoor Bin Hallaaj Ka Asl Waqeya • IslamiShariat.com