Home / Fiqah / Qurbani / Aebdar Janwaro Ki Tafsil Jinki Qurbani Nahi Hoti

Aebdar Janwaro Ki Tafsil Jinki Qurbani Nahi Hoti

*Aysa Pagal Janwar Charta Na Ho.
Itna Kamzor Ho Ke Dublepan Ki Wajah Se Khada Na Ho Sake.
Andha Ya Aysa Kaana Jiska Kaanapan Zahir Ho.
Aysa Bimar Ke Jiski Bimari Zahir Ho (Yani Jo Bimari Ki Wajah Se Chara Na Khaye)
Aysa Langda Jo Khud Apne Pairo’n Se Chal Kar Qurbangah Tak Na Ja Sake.
Jiske Paidaishi Kaan Na Ho’n Ya Ek Kaan Na Ho.
Wahshi (Jangali) Janwar Jaise NeelGaae. Jangali Bakra Ya Khunsa Janwar (Jisme Nar Aur Maada Dono Ki Nishaniya’n Ho’n) Ya Jallala Jo Sirf Ghaliz (Gandgi) Khata Ho.
Ya Jiska Ek Pair Kaat Liya Gaya Ho.
Kaan Ya Dum (Pooch) Ek Tihayi (1/3) Se Zyada Kate Hue Ho’n Naak Kati Hui Ho.
Daant Na Ho’n (Yani Jhad Gaye Ho’n) Than Kate Hue Ho’n Ya Sukh Gaye Ho’n In Sabki Qurbani NaJaiz Hai,

📚Durr e Mukhtar. Jild 9 Safa 535

*Jiske Paidaishi Seeng Na Ho’n Uski Qurbani Jaiz Hai. Aur Agar Seeng The Magar Toot Gaye. Agar Jad Samet Tute Hain To Qurbani Na Hogi Aur Sirf Upar Se Tute Hain Jad Salamat Hai To Ho Jayegi,
📚Aalamgiri. Jild 5 Safa 298

*Qurbani kKarte Waqt Janwar Uchla Kuda Jiski Wajah Se Ayeb Paida Ho Gaya To Ye Ayeb Muzir Nahi Yani Qurbani Ho Jayegi.
Aur Agar Uchalne Kudne Se Ayeb Paida Ho Gaya Aur Wo Chhut Kar Bhag Gaya Aur Fauran Pakad Kar Laya Gaya Aur Zabah Kar Diya Gaya Jab Bhi Qurbani Ho Jayegi,
📚Durre Mukhtar Raddul Mohtar. Jild 9 Safa 539

*Behtar Ye Hai Ke Qurbani Apne Hath Se Kare Jabke Achchi Tarah Zabah Karna Janta Ho Aur Agar Achchi Tarah Zabah Karna Na Janta Ho To Dusre Ko Zabah Karne Ka Hukm De Magar Is Surat Me Behtar Ye Hai Ke Qurbani Ke Waqt Waha’n Hazir Ho,
📚Aalamgiri. Jild 5 Safa 300

*Dusre Se Zabah Karwaya Aur Khud Apna Hath Bhi Churi Par Rakh Diya Ke Dono Ne Milkar Zabah Kiya To Dono Par Bismillah Kehna Wajib Hai. Ek Ne Bhi Janbujh Kar Chhordi Ya Ye Sonch Kar Chhori Ke Dusre Ne Kehli Mujhe Kehne Ki Kya Zarurat. Dono Surato’n Me Janwar Halaal Na Hua,
📚Durre Mukhtar. Jild 9 Safa 551

Leave a Reply