Suwal ?
Agar Bachche Mardo Ki Saf Me Khade Ho’n To Kya Hukm Hai?
Jawab !
Agar Bachche Mardo Ki Saf Me Khade Ho’n To Namaz Me Koi Khalal (Karabi) Nahi Aayega Namaz Ho Jayegi.
Lekin Behtar Ye Hai Ke
Bachcho Ko Is Se Roka Jaye Aur Piche Khade Hone Ki Talqeen Ki Jaye
Aur Sirf Ek Bachcha Ho To Ulma Ne Use Saf Me Dakhil Hone Aur Mardo Ke Darmiyan Khade Hone Ki Ijazat Di Hai.
Muraqiul’Falaah Me Hai
ان لکم یکن جمع من الصبیان یقوم الصبی بین الرجال اھ،
Haa’n Agar Bachche Namaz Se Khub Waqif Ho’n To Unhe Saf Se Nahi Hatana Chahiye
Aur Kuch Be’ilm Ye Zulm Karte Hain Ke Ladka Pehle Se Namaz Me Shamil Hai Ab Ye Aaye To Use Niyat Bandha Hua Hata Kar Kinare Kar Dete Hain Aur Khud Beech Me Khade Ho Jate Hain Ye Mahez Jihalat Hai
Aur Kuch Logo Ka Ye Khayal Ke Ladka Barabar Me Khada Ho To Mard Ki Namaz Na Hogi Galat Hai Jiski Kuch Asl Nahi,
Aysa Hi Fatawa Razviya Jild 3 Safa 1318
Aur
Fatawa Mustafaviya Jild 2 Safa 73 Par Hai,