Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Asr Ka Roza Kya Hai Aur Isko Rakhna Kaisa Hai?

Asr Ka Roza Kya Hai Aur Isko Rakhna Kaisa Hai?

Asr Ka Roza Kya Hai Aur Isko Rakhna Kaisa Hai?

Asr Ka Roza Hadis Ya Fiqah Se Sabit Nahi Balke Ye Mamoolat e Shaikh Me Se Hai,

Imam e Ahle Sunnat Se Pucha Gaya
Baaz (Kuch) Log Is Mulk Me Asr Ki Namaz Se Magrib Tak Kuch Khate Pite Nahi Hain,
Isko Asr Ka Roza Kaha Jata Hai
Iske Bahut Se Fazail Bayan Kiye Jate Hain,
Ek Fayda Ye Hai Ke Jab Maut Ke Waqt Shaitan Pani Lekar Dhokha Dene Ayega Us Waqt Is (Asr Ka) Roza Rakhne Wale Ko Asr Ka Waqt Maloom Hoga Aur Roze Ka Khayal Rahega Is Liye Wo Keh Dega Ke Mai Roze Se Hu’n Tera Pani Hargiz Nahi Piyunga, Yaha’n Tak Ke Shaitan Lachar Hokar Chala Jayega Is Tarah Asr Ka Roza Rakhne Wala Gumrahi Se Bach Jayega,
Ab Kya Ye Roza Aur Uske Ye Fayde Sahi Hain Ya Nahi?
Kisi Motbar Kitab Me Iski Asal Hai Ya Nahi?
Agar Nahi To Is Par Sawab Samajh Kar Amal Karna Kaisa Hai?

Imam e AhleSunnat Ne Jawab Irshad Farmaya…

Hadis Aur Fiqah Me Iski Asal Nahi
Haa’n Baaz Mashaikh (Buzurgo’n) Ke Mamoolat Me Se Hai. Aur Is Amal Me Harj Nahi. Insan Jitni Der Nafs Ki Khwahisho’n Se Bache Behtar Hai….
>Fatwa Razviya Jild 23 Page 105,

Leave a Reply