Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Aurato’n Ko Janwar Zibah Karna Kaisa Hai?

Aurato’n Ko Janwar Zibah Karna Kaisa Hai?

Aurto’n Ko Janwar Zibah Karna Kaisa Hai?

➡️ Talaq Wali Aurat Ki Iddat Ka Sahi Waqt Kya Hai?

Galat Fehmi

Logo Me Ye Baat Mash’hoor Hai Ke
Aurat Janwar Zibah Nahi Kar Sakti
Halanke Ye Logo Ki Galat Sonch Aur BeBuniyad Baat Hai

➡️ Khutba Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?

Sahi Mas’ala

Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Aurat Bhi Janwar Zibah Kar Sakti Hai
Aurat Ka Zibah Kiya Hua Janwar Halal Hai
Mard o Aurat Sab Use Kha Sakte Hain

Mishkat Sharif Me Iske Jawaz Par Hadis Maujud Hai Ke
Sarkar e Do’Aalam ﷺ Ne Ek Ladki Ki Zibah Ki Hui Bakri Ka Gosht Khane Ki Ijazat Di,

Aur Fiqah e Hanafi Ki Mash’hoor Kitab Durre Mukhtar Me Hai Ke
Zibah Karne Wale Ke Liye
Musalman Aur Aasmani Kitabo’n Par Iman Rakhne Wala Hona Kafi Hai
Agarche Aurat Hi Ho

Aala Hazrat Imam e AhleSunnat Farmate Hain Ke
Deen e Samawi Shart Hai Aamal Shart Nahi

📖 Durre Mukhtar Jild 2
📖 Fatawa Razviya Jild 8

➡️ Khutba Ke Waqt Durud Sharif Padhna Kaisa Hai?

➡️ Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai?

Leave a Reply