Azan Ke Waqt Baat Karna Kaisa Hai?
Galat Mas’ala
Aaj Kal Awaam To Awaam Kuch Ahle ilm Hazraat Bhi Azan Ke Waqt Baato’n Me Mashghool Rehte Hain
Jabke Aysa Karna Sahi Nahi Hai.
Na’Baaligh Ki Imamat Kaisi Hai?
Kya Gusl Ke Wuzu Se Namaz Nahi Hoti?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Jab Azan Ho To Itni Der Ke Liye Salam o Kalam Aur Jawab e Salam Tamam Kaam Band Karde’n
Yaha’n Tak Ke
Qur’Aan Majid Ki Tilawat Me Azan Ki Aawaz Aye To Tilawat Rok De’n
Azan Ko Ghaur Se Sune’n Aur Jawab De’n
(Jo Azan Ke Waqt Baato’n Me Mashghool Rahe Us Par MaAzaAllah Khatima Bura Hone Ka Andesha Hai -Mafhum Hadis)
Aur Agar Rasta Chalne Me Azan Ki Aawaz Aye To Ruk Kar Azan Sune’n Aur Jawab De’n
Aur Agar Kayi Jagah Se Azan Ki Aawaz Aaye To Unme Se Pehli Azan Ka Jawab Dena Zaruri Hai Aur Sabka Jawab Dena Behtar Hai…
📖 Fatawa Razviya, Bahare Shariat Hissa 3 Safa 36