Hambistari Se Pehle Bismillah Padhna Kaisa Hai?
➡️ Kya Gusl Ke Waqt Kalma Na Padhne Se Paak Nahi Hote?
Galat Mas’ala
Awam Me Ye Bhi Mash’hoor Hai Ke
Biwi Se Humbistari Karne Se Pehle Bismillah Sharif Nahi Padhni Chaiye.
Aur Humbistari Se Pehle Bismillah Padhna Gunah Samajhte Hai.
Ye Awam Ki Galat Sonch Aur Khilaf e Shara Baat Hai,
➡️ Sajde Me Jate Waqt Tehband Ya Paijama Wagairah Uthana Kaisa Hai?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Biwi Se Humbistari Karne Se Pehle Bismillah Padhna Jaiz o Mustehsan Hai
Bismillah Padhne Ka Shariat e Mutahhara Me Hukm Aaya Hai.
Aala Hazrat Imam e AhleSunnat Ashshah Imam Ahmad Raza Qadri Farmate Hain
Jo Bagair Bismillah Aurat Ke Paas Jaye Uski Aulaad Me Shaitan Ka Sajha Hota Hai.
Hadis Me Ayso Ko Mughrabin Farmaya Hai.
Yani Jo Insan Aur Shaitan Ke Majmui Nutfe Se Banta Hai,
📖 Al’Malfuz Sharif Hissa 2 Safa 92,