Churaya Hua Mobile Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?
Mobile Ke Zyada Istemal Ne Mobile Choro’n Ki Tadad Bhi Badha Di Hai,
Agar Kharidar Ko Maloom Ho Jaye Ke Ye Mobile Churaya Hua Hai To Use Hargiz Na Kharide
Kyun Ke Chori Ka Maal Janbujh Kar Kharidna Haraam Hai,
➡️ Qisto’n Par Mobile Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddis e Barelvi Farmate Hain:
Chori Ka Maal Danista (Janbujh Kar) Kharidna Haraam Hai, Balke Agar Maloom Na Ho Maznoon (Jisme Shak) Ho Jab Bhi Haraam Hai
📖 Fatawa Razviya, Jild 7, Safa 38
Aaj Kal Mobile Chor Aur Bahut Se Mobile Dukandar Ke Darmiyan Pehle Se SathGanth Rehti Hai,
Chor Mobile Chura Kar Dukandar Ko Deta Hai Aur Dukandar Use Bech Deta Hai,
Muslim Dukandar Ko Mobile Chor Se Mobile Kharid Kar Apni Dukan Me Hargiz Nahi Bechna Chahiye
Aur Jis Dukandar Ke Bare Me Tehqiq Se Maloom Ho Jaye Ke Wo Chori Ka Mobile Bechta Hai Ayse Dukandar Se Churaya Hua Mobile Kharidna Jaiz Nahi
➡️ Naqd Aur Udhar Mobile Ki Qimat Alag Alag Rakhna Kaisa Hai?
Huzur SadarushShariah Allama Amjad Ali Aazmi Farmate Hai:
Agar Bae (Bechne Wala) Aysa Shakhs Hai Ke Halaal o Haraam Yani Chori o Gasab Sab Hi Tarah Ki Chize’n Bechta Hai To Ehteyat Hai Ke Daryaft (Maloom) Karle,
Halaal Ho To Kharide, Warna Kharidna Jaiz Nahi
📖 Bahar e Shariat, Jild 2, Hissa 11, Safa 719
Chori Ka Mobile Ya Koi Aur Samaan Jis Tarah Kharidna Haraam Hai, Usi Tarah Usko Bechna, Bikwana Ya Bechne Ka Karobar Karna Bhi Haraam Hai
One comment
Pingback: Gair Muslim Ki Zamin Girwi Lena Aur Us Se Nafa Hasil Karna Kaisa Hai ? • IslamiShariat.com