Suwal: Assalamu Alaikum Wa Rehmatullah,
Ulma e Kiram Ki Bargah Me Ek Suwal Arz Hai Ke Court (Adalat) Ki Talaq Ko Talaq Mante Hain Ke Nahi ShariAt Ki Raushni Me Jawab Inayat Farma Kar IndallahMajoor Ho’n……
☞ Talaq Wali Aurat Ki Iddat Ka Sahi Waqt Kya Hai?
Jawab: Wa AlaikumusSalamu Wa Rehmatullah,
اَلْجَوَابُ بِعَوْنِ الْمَلِکِ الْوَھَّابِ اَللّٰھُمَّ ھِدَایَۃَ الْحَقّ وَالصَّوَابِ ﷽
Talaq Ka Ikhteyar Sirf Shauhar Ko Hai Court (Adalat) Ki Talaq, Talaq Nahi Aur Na Hi Court (Adalat) Ki Talaq Se Aurat Ko Dusre Nikah Ki Ijazat Hai,
Irshad e KhudaWandiﷻ Hai:
” بیدہ عقدۃ النکاح ”
📗 Para 2, Surah Baqarah, Aayat 237
Aur Irshad e Nabawiﷺ Hai:
” الطلاق لمن أخذ بالساق ”
📕 BaHawala Fatawa FaizurRasool, Jild 2, Safa 126
Haa’n Agar Court (Adalat) Me Shauhar Bhi Maujud Ho Aur Talaq De Ya Court (Adalat) Ke Talaq Nama Par Dastakhat Kare To Talaq Waqe Ho Jayegi.
وَاللہُ اَعْلَمُﷻ وَرَسُوْلُہ اَعْلَمﷺ
✍️ Hazrat Mufti Muhammad Asrar Ahmad Noori Barelvi (Uttarakhand)
☞ Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai?
Court (Adalat) Ke Hukm Se Hue Talaq Ya Khul’a Ka Sharai Hukm !
Suwal: Kya Farmate Hain Ulma e Deen Muftiyan e Shara e Mateen Is MasAle Me Ke
Ladka Ladki Ka Khul’a Ya Talaq Aapas Me Hui Ho Gawaho’n Ki Maujudgi Me Court (Adalat) Ke Zariye Se, To Kya Yahi Court (Adalat) Ka Khul’a Nama Ya Talaq Nama Kafi Hai, Ya Phir Az’Sar’e’Nau (Naye Sire Se) Aalim e Deen Aur Gawaho’n Ki Maujudgi Ladka Ladki Ka Khul’a o Talaq Karaya Jaye ?
Jawab Inayat Farmaye’n AenNawazish Hogi….
☞ Meher Muaf Karana Kaisa Hai?
Jawab:
اَلْجَوَابُ بِعَوْنِ الْمَلِکِ الْوَھَّابِ اَللّٰھُمَّ ھِدَایَۃَ الْحَقّ وَالصَّوَابِ ﷽
Mehr Wagairah Maal Ke Badle Shauhar Apni Biwi Ko Nikah Se Juda Karde, Ise Shara Me Khul’a Kehte Hain
📗 Fatawa Razviya, Jild 13, Safa 264
Is Me Shauhar Ki Qubuliyat Bhi Lazim Hai Ke Bagair Us Ke Qubool Kiye Khul’a Ka Wujood Hi Nahi Hoga
Imam e AbuBakr Kasani Farmate Hain:
” واما رکنہ فھو الایجاب والقبول ، لانہ عقد علی الطلاق بعوض ،فلاتقع الفرقۃ ولا یستحق العوض بدون القبول “
Tarjma: Khul’a Ka Rukn Ejab o Qubool Hai, Kyun Ke Ye Ewaz (Badle) Me Talaq Dena Hai Lehaza Bagair Qubuliyat Ke Na To Judayi Waqe Hogi Na Hi Ewaz Ka Mustahiq (Haqdar) Hoga
📗 BadaeusSanae, Jild 4, Safa 315
Yun Hi Nikah Ki Girah SharAn Shauhar Ke Hath Me Hai
Allahﷻ Ka Farman Hai:
” بیدہ عقدۃ النکاح ”
📚 Surah Baqarah, Aayat 237
Lehaza Koi Dusra Is Girah Ko Kholne Ka Yani Talaq Dene Ka Ikhteyar Bhi Nahi Rakhta, Chahe Wo Court (Adalat) Hi Kyun Na Ho
Imam AbuBakr Razi AlJisas Farmate Hain:
” لا يجوز إيقاع الطلاق من جهتهما من غير رضى الزوج وتوكيله ولا إخراج المهر عن ملكها من غير رضاها فلذلك قال أصحابنا إنهما لا يجوز خلعهما إلا برضى الزوجين فقال أصحابنا ليس للحكمين أن يفرقا إلا برضى الزوجين لأن الحاكم لا يملك ذلك “
Yani: Shauhar Ki Razamandi Ya Uski Taukeel (Wakalat/Ijazat) Ke Bagair Jajo’n (Judges) Ki Taraf Se Eiqa-e-Talaq (Talaq Hona) Jaiz Nahi Hai, Na Aurat Ki Razamandi Ke Bagair Mehr Ko Uski Milkiyat (Haq) Se Kharij Kiya Ja Sakta Hai, Isi Wajah Se Humare Fuqha Ne Farmaya Ke Miya Biwi Ke Darmiyan Khul’a Unki Razamandi Ke Bina Nahi Ho Sakta, Aur Jajo’n (Judges) Ko Ye Ikhteyar Nahi Ke Wo Miya Bhi Ki Razamandi Ke Bagair Unke Darmiyan Tafriq (Judayi) Kare’n
📕 Ahkamul-QurAan, Jild 3, Safa 152
Lehaza Puchhi Gayi Surat Me Agar Court (Adalat) Ne Shauhar Ki Zubani Ya Tehriri (Likhi Hui) Razamandi Ke Bagair Khul’a ((Ya Talaq)) Ka Faisla Sunaya, Ya Baad Faisla Shauhar Ki Taraf Se Kisi Qism Ki Qauli (Bol Kar) Ya Amali (Amal Se) Razamandi Nahi Payi Gayi To SharAn Court (Adalat) Ka Ye Faisal Hargiz Motbar Nahi Hai, Lazim Hai Ke ShariAt Ke Mutabiq Az’Sar’e’Nau (Naye Sire Se) Khul’a ((Ya Talaq)) Karwaye’n
وَاللہُ اَعْلَمُﷻ وَرَسُوْلُہ اَعْلَمﷺ
✍️ Hazrat Mufti Shakil Akhtar Qadri Shb (Karnatak)
✏️ Asir e Habib: Muhammad Rafi Raza Qadri (Bareilly Sharif)
☞ Maher Ki Sahi Miqdar Kya Hai Aur Kam Se Kam Kitna Maher Ho?