Suwal ?
Dadhi Mundane Wala Azaan Keh Sakta Hai Ya Nahi?
Jawab !
Dadhi Mundane Wala Fasiq Hai
Durre Mukhtar Jild 5 Safa 261 Par Hai
یحرم علی الرجل قطع لحیته ،
Dadhi Mundane Wale Ki Azaan Makruh Hai Is Liye Ke Wo Fasiq Hai,
Aur Durre Mukhtar Ma Shami Jild 1 Safa 289 Me Hai
یکرہ اذان فاسق اھ،
Aur Hazrat e SadarusShariAh RehmatullahAlaih Farmate Hain
Khunsa (Hijda) Wa Fasiq (Haram Kaam KhuleAam Karne Wala) Chahe Aalim Hi Ho Aur Nasha Wale Aur Pagal Aur NaSamajh Bachche Aur Junub (Jis Par Gusl Farz Ho) Ki Azaan Makruh Hai.
In Sab Ki Azaan Ka eAada (Dobara) Kiya Jaye
📚 Bahar e Shariat Hissa 3 Safa 31,
Nasha Wale. Pagal Aur NaSamajh Bachche Ki Azaan Batil Hai.
Jaisa Ke Imam e AhleSunnat Aala Hazrat Imam Ahmad Raza RehmatullahAlaih
JaddulMumtar Jild 2 Safa 88 Par BehrurRaiq Ke Hawale Se Farmate Hain.
Nasha Wale. Pagal Aur NaSamajh Bachche Ki Azaan Batil Hai Kyun Ke Sehat e Azaan Ke Liye Aql Aur Islam Shart Hai
Aur Baqiyo Ki Azaan Makruh Hai,
📚BehrurRaiq Jild 1 Safa 460,
Lehaza Pagal. Jisne Nasha Kiya Ho. Jis Par Gusl Farz Ho. NaSamajh Bachcha. Hijda. Ya Phir KhuleAam Haraam Kaam Karne Wale Ne Azaan Padhi To Us Azaan Ko Dobara Padha Jayega,