Dadhi Rakhne Wale Ko Mulla Kehna Kaisa Hai ?
Suwal: Aksar Log Dehato’n (Villages) Wagairah Me Dadhi Rakhne Wale Shakhs Ko Mulla Kehte Hain In Me Aksar GairAalim Ya Phir Bilkul Bhi Padhe Likhe Nahi Hote Aur Baaz Log Aalim Ko Bhi Mulla Kehte Hain Kya Aysa Kehna Durust Hai ?
⇒ Qurbani Ke Mutalliq Aksar Puchhe Jane Wale Suwalat Ke Jawab
Jawab: Huzur Sultanul Waizeen, Raeesul Musannifeen Hazrat Allama AbunNoor Muhammad Bashir RehmatullahAlaih Tehrir Farmate Hain Hain Ke
” Pehle Sab Se Bade Aalim e Deen Ko ” Mulla ” Kaha Jata Tha Aur Phir Mulla Ka Sab Se Zyada Ehteram Kya Jata Tha Jaise Hazrat Mulla Jiwan Jo Hazrat Aurangzeb RehmatullahAlaih Ke Ustad The, Mulla Jami Aur Mulla AbdulHakeem Sialkoti RehmatullahAlaihim Aur Aaj Ye Lafz Badi Hiqarat Ke Mauqe Par Istemal Kiya Jata Hai Is AzimushShan Lafz Ko Tehqir Se Bolne Wale Aur Mulla Ko Haqir Samajhne Wale Apne Aapko ” Mister ” Kehla Kar Bade Khush Hote Hain Ye Kitna Bada Inqlab Hai Ke Aaj Ek Musalman ” Mulla ” Ya Hafiz Kehlana Pasand Nahi Karta Aur Mister Kehlana Pasand Karta Hai Maulvi o Mulla Ki Shakl o Surat Par Jo Islami Hai Mazaq Udata Hai Eden o Churchil Aur Stalin Ki Shakl o Surat Ko Jo Kafiro’n Ki Hai Apnata Hai Aur Chahta Hai Ke Use Dekh Kar Har Koi Use ” Angrez ” Samjhe Aur Use Sab ” Sahab Bahadur ” Kahe’n .
⇒ Qurbani Ke Mutalliq Aksar Puchhe Jane Wale Suwalat Ke Jawab
Agle Safe Par Tehrir Farmate Hain Ke
” Dekh Lijiye Hum Mulla Hain Mulla Rahenge Aur Mulla Hi Marenge Aur Humari Khuda Se Dua Hai Ke Wo Hume Mulla Hi Uthaye Aur Mulla Jiwan, Mulla Jami, Mulla AbdulHakeem Jaise Maqbulo’n Ke Sath Humara Hashr Ho, Ab Zara Mister Se Puchhiye Ke Kya Tumhare Liye Bhi Aysi Dua Ki Jaye Ke Tum Mister Ho Mister Ban Ke Jio Aur Mister Hi Reh Kar Maro Aur Khuda Tumhe Mister Hi Uthaye Aur Mister Churchil Aur Mister Darwin Jaise Mardudo’n Ke Sath Tumhara Hashr Ho,
Mera Yaqin Hai Ke Mister Aysi Dua Par Kabhi Razi Na Hoga To Maloom Hua Ke Dil Iska Motarif Hai Ke Ye Jo Ambiya Ki Seerat o Surat Apnata Hai Yahi Qayamat Me Kaam Aane Wali Hai „
📚 Waiz, Jild 1, Hissa 1, Safa 149/151
⇒ Dadhi Mundane Wala Azaan Keh Sakta Hai Ya Nahi?
Is Se Maloom Hua Ke Pehle Ye Lafz ” Mulla ” Bade Bade Ulma Ke Liye Istemal Hota Tha Aur Mulla Ka Sab Se Zyada Ehteram Hota Tha
Ye Waqt Ki Kitni Badi Sitam Zarifi Hai Ke Gentleman Log Lafz Mulla Ko Hiqarat Se Bolne Lage Hain,
Is Liye Jaha’n ” Mulla ” BaNiyat e Tehqir (Hiqarat Se) Bola Jata Hai Waha’n Lafz Mulla Kisi Aalim e Deen Ya Kisi BaShara Ke Liye Istemal Karna Hargiz Durust Nahi Aur Jaha’n BaNiyat e Tazim o Ehteram Lafz Mulla Istemal Hota Hai Waha’n Bolne Me Koi Harj Nahi Is Liye Ke Shara Me Urf Ka Bhi Etbar Hota Hai…
✍ Hazrat Allama Abul-Ehsan Muhammad Mushtaq Ahmad Qadri Razvi, Maharashtra………