Home / Fiqah / Qurbani / Eid-ul-Adha Ke Fazail Aur Sunnate’n

Eid-ul-Adha Ke Fazail Aur Sunnate’n

❇ Dil Zinda Rahega

Mustafa Jaan e Rehmat ﷺ Ka Farman e Aali Shan Hai,
Jis Ne Eidain Ki Raat (Yani Eid-e-Fitr Aur Eid-e-Azha Ki Raate’n) Talab e Sawab Ke Liye Qayam Kiya (Yani Ebadat Me Guzara) Uska Dil Nahi Marega Jis Din Logo Ke Dil Mar Jayenge,
📚Sunan e Ibne Maja Jild 2 Safa 365 Hadis 1782,

Jannat Wajib Ho Jati Hai

Ek Aur Maqaam Par Hazrat Sayyiduna MuAaz Bin Jabal RadiAllahuTaAalaAnh Se Maravi Hai
Farmate Hain.

Jo 5 Raato’n Me Shab’Bedari Kare (Yani Jaag Kar Ebadat Me Guzare) Uske Liye Jannat Wajib Ho Jati Hai
Zil’Hijjah Sharif Ki Aathvi’n. Navi’n. Dasvi’n. (8vi.9vi.10vi) Raat (Is Tarah 3 Raate’n To Ye Hui) Aur Chauthi (4) Eid-e-Fitr Ki Raat Panchvi (5vi) Shabanul Muazzam Ki Pandharvi (15vi) Raat (Yani Shab e Bar’at)
📚Attargeeb Wattarheeb Jild 2 Safa 98 Hadis 2,

Namaz e Eid Ke Liye Jane Se Pehle Ki Sunnate’n

Hazrat e Sayyiduna Buraida RadiAllahuTaAalaAnh Se Riwayat Hai Ke,

Huzur PurNoor ﷺ Eid-e-Fitr Ke Din Kuch Khakar Namaz Ke Liye Tashrif Le Jate The
Aur Eid-ul-Adha Ke Din Nahi Khate The Jab Tak Namaz Se Farig Na Ho Jate
📚Sunan e Tirmizi Jild 2 Safa 70 Hadis 642,

Aur Bukhari Ki Riwayat Hazrat e Sayyiduna Anas RadiAllahuTaAalaAnh Se Hai Ke,

Eid-e-Fitr Ke Din Tashrif Na Le Jate Jab Tak Chand Khajure’n Talawul Na Farma Lete Aur Wo Taaq Hoti’n
(Aap ﷺ Namaz Ke Liye Tashrif Le Jane Se Pehle Kuch Khajure’n Khate The Jo 3. 5. ya 7. Wagairah Hoti)
📚Bukhari Jild 1 Safa 328 Hadis 953,

Namaz e Eid Ke Liye Aane Jaane Ki  Sunnate’n

Hazrat e Sayyiduna Abu’Hurairah RadiAllahuTaAalaAnh Se Riwayat Hai.

Aaqa ﷺ Eid Ko (Namaz e Eid Ke Liye) Ek Raste Se Tashrif Le Jate Aur Dusre Raste Se Wapas Tashrif Late
📚Sunan e Tirmizi Jild 2 Safa 69 Hadis 541,

Leave a Reply