Gaus e Aazam Ke Dhobi Ka Qabr Wala Waqya Motbar Hai Ya Nahi?
Hzuaur Faqih e Millat Se Is Waqya Ke Mutalliq Suwal Kiya Gaya. Huzur Faqih e Millat Ka Jawab Mulahiza Farmaye’n,
Suwal ?
Jamat e AhleSunnat Ke Stage Se Ye Riwayat Bayan Ki Gayi Ke
Hazrat Sayyedna Shaikh AbdulQadir Jeelani RadiAllahuTaAalaAnh Ka Ek Dhobi Tha Jab Uska Inteqal Ho Gaya Aur Sawal o Jawab Ke Liye Munkar Nakeer Firishte Qabr Me Tashrif Laye Aur Pehla Suwal من ربك (ManRabbuka) Kiya To Usne Jawab Me
Gaus Paak (Ya) Mai Gaus Paak Ka Dhobi Hu’n Kaha Is Tarah Baqi Dono Suwalo’n Ke Jawab Me Bhi Uska Wahi Jawab Raha Ke
Mai Gaus Paak Ka Dhobi Hu’n (Ya) Gaus Paak,
Daryaft Talab Amr Ye Hai Ke
Aysa Bayan Karna SharAn Kaha’n Tak Durust Aur Jaiz Hai?
Aur Is Tarah Ki Riwayat Bayan Karne Wale Par SharAn Kya Hukm Aayad Hota Hai?
Jawab !
Riwayat e Mazkura (Jo Riwayat Bayan Hui) BeAsl Hai
Iska Bayan Karna Durust (Sahi) Nahi.
Lehaza (Is Liye) Jisne Ise Bayan Kiya Wo Is Se Ruju (Tauba) Kare Aur Ayinda Is Riwayat Ke Bayan Na Karne Ka Ahed (Wada) Kare.
Agar Wo Aysa Na Kare To Kisi Motmad (Mustanad) Kitab Se Is Riwayat Ko Sabit Kare,
📚 Fatawa Faqih e Millat. Jild 2 Safa 411
2 comments
Pingback: Islami Naye Saal (Islamic New Year) Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai? • IslamiShariat.com
Pingback: Hazrat Mansoor Bin Hallaaj Ka Asl Waqeya • IslamiShariat.com