Corona viruse Ke Sabab Lockdown Ka Mahaul Hai Jisme Sabhi Log Apne Gharo’n Ya Kaam Kaaj Ki Jagaho’n Par Thehre Hue Hain Ayse Me Masajid Ki Hazri Se Bhi Government Ne Rok Diya Hai Jiske Sabab Aksar Musalman Apne Gharo’n Aur Karkhano’n Me Hi Namaz Ada Kar Rahe Hain….
Chunke Gharo’n Me Namaz Ada Karne Ke Bahut Se Masail Se Aksar Log Aagah Nahi Hain Lehaza Is Mazmoon Me Gharo’n Par Namaz Ada Karne Ke Chand Aham Masail Se Aapko Aagah Kiya Jayega InShaAllah….
Namaz e Eid Ka Mukammal Tariqa Aur Zaruri Masail
Suwal-1 ☞ Gharo’n Me Tanha Namaz Ada Karne Ki Surat Me Azan o Iqamat Kahenge Ya Nahi?
Jawab ☛ Gharo’n Me Tanha Namaz Padhne Ki Surat Me Masjid Ki Azan o Iqamat Hi Kaafi Hai AlBatta Keh Lena Mustahab Hai. (Bahar e ShariAt)
Suwal-2 ☞ Gharo’n Me JamaAt Se Namaz Ada Karne Ki Surat Me Azan o Iqamat Ka Hukm Kya Hai?
Jawab ☛ Gharo’n Me JamaAt Se Namaz Ada Karne Ki Surat Me Bhi Masjid Ki Azan Kaafi Hai Aur Keh Lena Mustahab Hai Lekin Iqamat Kahi Jayegi Ke Bina Iqamat Ke JamaAt Makrooh e Tehrimi Hai AlBatta Namaz Ho Jayegi. (Bahar e ShariAt)
Suwal-3 ☞ Ghar Par JamaAt Karne Ki Surat Me Kya Aurat Iqamat Keh Sakti Hai?
Jawab ☛ Aurato’n Ko Azan o Iqamat Kehna Marooh e Tehrimi Hai (Qanoon e ShariAt) Lehaza Agar Ghar Me Koi Gair Fasiq e MoAlin Ho To Wo Kahe Warna Khud Imam Kahe.
Suwal-4 ☞ Sirf Aurate’n Apne Gharo’n Me JamaAt Kar Sakti Hain?
Jawab ☛ Aurato’n Ko JamaAt Karna NaJaiz o Makrooh e Tehrimi Hai (Fatawa Aalamgiri)
Suwal-5 ☞ Kya Mard Ki Iqtida Me Aurate’n Namaz Padh Sakti Hain?
Jawab ☛ Jis Ghar Me Aurate’n Hi Aurate’n Ho’n Us Me Mard Ko Unki Imamat Karna NaJaiz Hai. Haa’n Agar Un Aurato’n Me Uski Nasbi Maharim ( Jaise Maa, Bahen, Beti Wagairah) Ho’n Ya Biwi Ya Waha’n Koi Mard Bhi Ho To NaJaiz Nahi (Bahar e ShariAt)
Na’Baaligh Ki Imamat Kaisi Hai?
Suwal-6 ☞ Imamat Kaun Kar Sakta Hai?
Jawab ☛ Musalman Mard, Aaqil, Balig, Gair Mazoor, Jiski QirAt Aur Taharat Thik Ho, Gair Fasiq e MoAlin Ho Aysa Shakhs Imamat Kar Sakta Hai. (Fatawa Razviya Sharif)
Suwal-7 ☞ Kya Bagair Dadhi Wala Imamat Kar Sakta Hai?
Jawab ☛ Ji Nahi Bagair Dadhi Wala Shakhs Fasiq e MoAlin Hai Jo Imamat Ka Ahl Nahi Hai, Aur Fasiq e MoAlin Dusre Fasiq e MoAlin Ki Imamat Bhi Nahi Kar Sakta (Fatawa Razviya Sharif)
Suwal-8 ☞ Gharo’n Me JamaAt Kare’n To Safo’n Ki Tarteeb Kis Tarah Hogi?
Jawab ☛ JamaAt Ke Waqt Kayi Tarah Ke Muqtadi Ho’n To Saf Is Tarah Banegi…
Sab Se Pehle Imam Phir Imam Ke Piche Mardo’n Ki Saf Phir Bachcho’n Ki Phir Khunsa Mushkil (Jisme Mard o Aurat Dono Ki Nishaniya’n Ho’n Aur Ye Sabit Na Ho Sake Ki Mard Hai Ya Aurat) Ki Phir Sab Se Aakhir Me Aurato’n Ki Saf.
Agar Tadad Ki Kami Ki Wajah Se Is Tarah SafBandi Na Ho Sake To Niche Zikr Kiye Hue Tariqe Se SafBandi Kare’n,
1☞ Agar Imam Ke Siwa Sirf Ek Mard Ho To Wo Imam Ke Barabar Me Dahini Taraf Khada Ho AlBatta Apni Endiya’n Imam Ke Pao’n Se Kuchh Piche Rakkhe Taki Imam Aur Muqtadi Me Farq Ho Sake
2☞ Imam Ke Alawa Do Ya Do Se Zyada Mard Ho’n To Sab Imam Ke Piche Saf Bana Kar Khade Ho’n
3☞ Mard (Imam) Ke Alwa Sirf Ek Aurat Ho To Imam Ke Barabar Me Khadi Na Ho Balke Tanha Piche Khadi Ho
4☞ Imam Ke Alawa Ek Mard (Chahe Bachcha Hi Ho) Aur Ek Aurat Ho To Mard (Ya Bachcha) Imam Ke Barabar Me Dahini Janib Khada Ho Aur Aurat Imam Ke Piche Tanha Khadi Ho
5☞ Imam Ke Alawa Do Ya Do Se Zyada Mard Ho To Mard Imam Ke Piche Khade Ho’n Aur Aurat Un Mardo’n Ke Piche Saf Banaye
6☞ Imam Ke Alawa Ek Se Zyada Mard Ek Zyada Bachche Aur Ek Se Zyada Aurate’n Ho’n To Imam Ke Siwa 3 Safe Banegi Pehli Saf Me Mard Dusri Saf Me Bachche Aur Teesri Me Aurate’n Aur Bachchiya’n Khadi Hongi
7☞ JamaAt Se Namaz Hone Ki Surat Me Mard o Aurat Agar Barabar Me Khade Hue To Mard Ki Namaz Fasid Ho Jayegi. (Is MasAla Ki Mukammal Tafseel Ke Liye Bahar e ShariAt Hissa 3 Dekhe’n)
📚 Bahar e ShariAt
Suwal-9 ☞ Kya Ghar Par Jume Ki Namaz Ada Kar Sakte Hain?
Jawab ☛ Ji Nahi Ghar Par Jume Ki Namaz Nahi Padh Sakte (Bahar e ShariAt)
Suwal-10 ☞ Agar Namaz e Juma Chhut Jaye To Kya Kare’n?
Jawab ☛ Agar Namaz e Juma Masjid Me Na Mil Saki To Agar Shahar Me Hain To Tanha Namaz e Zuhar Ada Kare’n Shahar Me Juma Chhutne Ki Haalat Me JamaAt Se Zuhar Nahi Padh Sakte Aur Agar Dehat Me Hai To Chunke Dehat Me Juma Jaiz Nahi Lehaza Dehat Me Juma Chhutne Ki Surat Me JamaAt Se Zuhar Ki Namaz Ada Kar Sakte Hain Agar JamaAt Na Ho Sake To Tanha Zuhar Padhe’n (Bahar e ShariAt)
Suwal-10 ☞ Kya Mask Pahen Kar Namaz Padh Sakte Hain?
Jawab ☛ Mask Pahen Kar Namaz Padhna Makrooh e Tehrimi Hai Lehaza Agar Mask Laga Kar Namaz Padhi Gayi To Namaz Dohrani Hogi. Ke Naak Muh Chhupa Kar Namaz Padhna Makrooh e Tehrimi Hai (Fatawa Aalamgiri)
Ummid Hai Aap Hazraat Achche Se Tamam Masail Ko Samajh Gaye Honge Agar Kahi’n Koi Uljhan Pesh Aaye Ya Kuchh Puchna Ho To Isi Mazmoon Ke Niche Comments Kar Sakte Hain InShaAllah Jald Aapko Jawab Mausool Hoga……
Ramzan Ki Mukammal Maloomat (Fazail o Masail)
Ramzan Sharif Ke 22 Zaruri Aur Naye Masail
Kya Razmzanul Mubarak Ki Raato’n Me Biwi Se Humbistari Karna Jaiz Nahi?
One comment
Pingback: Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai? • IslamiShariat.com