Home / Fiqah / Qurbani / Gosht Ke 22 Ajza (Hisse) Ka Tafseeli Bayan Jo Nahi Khaye Jate

Gosht Ke 22 Ajza (Hisse) Ka Tafseeli Bayan Jo Nahi Khaye Jate

Gosht Ke 22 Ajza (Hisse) Ka Tafseeli Bayan Jo Nahi Khaye Jate,

Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza
RadiAllahuTaAalaAnh Farmate Hain:

Halaal Janwar Ke Sab Ajza (Hisse) Halaal Hain Magar Kuch Jo Haraam Ya Mamnoo Ya Makrooh Hain,

(1) Rago’n Ka Khun
(2) Pitta
(3) Phukna (Masaana)
(4/5) Alamat e Mada Wa Nar (Sharmgahe’n)
(6) Baize (Kapoore)
(7) Ghudood
(8) Haraam Maghz
(9) Gardan Ke 2 Putthe Jo Shano’n Tak Khiche Hote Hain
(10) Jigar (Kaleji) Ka Khoon
(11) Tilli Ka Khoon
(12) Gosht Ka Khoon Jo Zabah Ke Baad Gosht Me Se Nikalta Hai
(13) Dil Ka Khoon
(14) Pit Yani Wo Peela Paani Jo Pitte Me Hota Hai
(15) Naak Ki Rutoobat (Gandgi)
(16) Pakhane Ka Maqaam
(17) Ojhadi
(18) Aante
(19) Nutfa (Mani)
(20) Wo Nutfa Jo Khoon Ho Gaya
(21) Wo Nutfa Jo Khoon Ka Lothda (Tukda) Ban Gaya
(22) Wo Nutfa Ke Jo Pura Janwar Ban Gaya Ho Aur Murda Nikla Ho Ya Be Zabah Mar Gaya,
📚 Fatawa Razviya. Jild 20 Safa 240/241

Samajhdar Qasaab (Qasaai) Kuch Mamnua Chize’n Nikal Diya Karte Hain
Magar Kuch Me Unhe Bhi Maloomat Nahi Hoti Ya Be’Ehteyati Barat’te Hain
Is Liye Aam Taur Par Be’ilmi Ki Wajah Se Jo Chize’n Saalan Me Pakayi Ya Khayi Jati Hain
Un Me Se Kuch Ki Nishandahi Ki Jaati Hai,

Khoon

Zabah Ke Waqt Jo Khoon Nikalta Hai

Use Dam e Masfooh Kehte Hain.
Ye NaPaak Hota Hai Iska Khana Haraam Hai
Zabah Ke Baad Jo Khoon Gosht Me Reh Jata Hai
Jaise Gardan Ke Kate Hue Hisse Par. Dil Ke Andar. Kaleji Aur Tilli Me
Aur Gosht Ke Andar Ki Chhoti Chhoti Rago’n Me Ye Agarche NaPaak Nahi Magar Is Khoon Ka Bhi Khana Mamnoo Hai
Lehaza Pakaane Se Pehle Safayi Kar Lijiye.
Gosht Me Kayi Jagah Chhoti Chhoti Rago’n Me Khoon Hota Hai Un Ko Nazar Me Rakhna Bahut Mushkil Hai
Pakne Ke Baad Wo Rage’n Kaali Dori Ki Tarah Ho Jati Hain
Khas Kar Bheje. Siri Paye Aur Murgi Ki Raan Aur Par Ke Gosht Wagairah Me Bareek Kaali Doriya’n Dekhi Jati Hain Khate Waqt Unko Nikal Diya Kare’n.
Murgi Ka Dil Bhi Sabit (Pura) Na Pakaye’n Lambayi Me Char Chire (Tukde) Karke Iska Khoon Pehle Achchi Tarah Saaf Kar Le’n,

Haraam Maghz

Ye Safed Dore Ki Tarah Hota Hai Jo Ke Bheje Se Shuru Hokar Gardan Ke Andar Se Guzarta Hua Puri Reedh Ki Haddi Me Aakhir Tak Jata Hai
Mahir Qasaai Gardan Aur Reedh Ki Haddi Ke Beech Se Do Parkale Yaani Do Tukde Karke Haraam Maghz Nikal Kar Phenk Dete Hain
Magar Aksar Be’Ehteyati Ki Wajah Se Thoda Bahut Reh Jata Hai Aur Saalan Ya Biryaani Me Pak Bhi Jata Hai
Is Liye Gardan. Chaanp. Kamar Ka Gosht Dhote Waqt Haraam Maghz Talaash Karke Nikal Diya Kare’n
Ye Murgi Aur Dusre Parindo Ki Gardan Aur Reedh Ki Haddi Me Bhi Hota Hai Pakane Se Pehle Isko Nikalna Bahut Mushkil Hai Is Liye Khate Waqt Nikal Dena Chahiye

Putthe

Gardan Ki Mazbooti Ke Liye Iske Dono Taraf Pile Rang Ke 2 Lambe Lambe Putthe Kandho’n Tak Khiche Hue Hote Hain
In Puttho Ka Khana Mamnoo Hai
Gaae Aur Bakri Ke To Aasani Se Nazar Aa Jate Hain
Magar Murgi Aur Parindo Ki Gardan Ke Putthe Aasani Se Nazar Nahi Aate
Khate Waqt Dhundh Kar Ya Kisi Janne Wale Se Puch Kar Nikal Dijiye

Ghudood

Gardan Par. Halaq Me Aur Kuch Jagah Charbi Wagairah Me Chhoti Badi Kahi’n Surkh Kahi’n Matiyale Rang Ki Gol Gol Gaanthe Hoti Hain
Inko Arabi Guddah Aur Urdu Me Ghudood Kehte Hain
Ye Bhi Mat Khaye’n Pakane Se Pehle Dhundh Kar Nikal Dijiye
Agar Pake Hue Gosht Me Bhi Nazar Aa Jaye To Nikal Dijiye

Kapoora

Kapoote Ko Khusiya. Fauta. Ya Baizah Bhi Kehte Hain
Inka Khana Makrooh e Tehrimi Hai
Ye Bail Bakre Wagairah (Nar Yani Muzakkar) Me Zahir Hote Hain
Murge (Nar) Ka Pet Khol Aante Banayenge To Peeth Ki Andaruni Hisse Par Ande Ki Tarah Safed 2 Chote Chote Beej Jaise Nazar Aayenge Yahi Kapoore Hain Inko Nikal Dijiye.
Afsos Musalmano’n Ke Kuch Hotalo’n (Hotel) Me Dil Kaleji Ke Alawa Bail Bakre Ke Kapoore Bhi Tawe Par Bhoon Kar Pesh Kiye Jate Hain
Yaqinan Hotal Ki Zuban Me Is Dish (Khane) Ko Kata’Kat Kaha Jata Hai
(Shayad Isko Kata’Kat Is Liye Kehte Hain Ke Grahak Ke Samne Hi Dil Ya Kapoore Wagairah Daal Kar Tez Aawaz Se Tawe Par Kaat’te Aur Bhoonte Hain Is Se Kata’Kat Ki Aawaz Aati Hai)

Ojhadi

Ojhadi Ke Andar Ghalazat (Gandgi) Ki Bahari Hoti Hai Iska Khana Makruh e Tehrimi Hai
Iske BaWajud Musalmano’n Me Bahut Se Log Ise Sahuq Se Kahate Hain,

Leave a Reply