Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Iqamat (Takbir) Khade Ho Kar Sunna Kaisa Hai?

Iqamat (Takbir) Khade Ho Kar Sunna Kaisa Hai?

Iqamat (Takbir) Khade Ho Kar Sunna Kaisa Hai?

➡️Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ

Galat Mas’ala

Aaj Kal Kuch Jagah Dekha Jata Hai Ke Jab Mukabbir Takbir Kehta Hai
To Sab Log Khade Ho Jate Hain Aur Khade Ho Kar Takbir Sunte Hain.
Halanke Ye Bilkul BeAsl Aur Khilaf e Sunnat Hai.

➡️Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Ek Nazar Me

➡️Mufti e Azam e Hind Ek Nazar Me

Sahi Mas’ala

Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Takbir Ke Waqt Baithne Ka Hukm Hai Khada Rehna Makruh Mana Hai.
Aur Jab Mukabbir (Iqamat Kehne Wala) Hayya’Alal’Falaah Par Pahuche To Uthna Chahiye.
Jaisa Ke Fatawa Aalamgiri Jild 1 Me Hai.
Yani Agar Koi Shakhs Takbir Ke Waqt Aaya To Use Khade Hokar Intezar Karna Makruh Hai.

Lehaza Baith Jaye Aur Jab Takbir Kehne Wala Hayya’Alal’falaah Par Pahuche To Usi Waqt Khada Ho.
Fiqah e Hanafi Ki Tamam Kitabo’n Me Ye Baat Maujud Hai Ke Muqtadi Ko Iqamat Ke Waqt Khada Rehna Makruh Hai
Aur Yahi Hukm Imam Ke Liye Bhi Hai,
📖 Fatawa Aalamgiri Jild 1. Fatawa FaizurRasul Jild 1,

➡️Tanbe. Peetal Aur Lohe Ke Zewar Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

➡️Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai?

Leave a Reply