Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Islami Ya Angrezi Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai ?

Islami Ya Angrezi Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai ?

Islami Naye Saal (Islamic New Year) Aur Angrezi Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai ?

> Muharram Ke Mahine Me Shadi Karna Kaisa Hai?

Muharramul’Haraam Se Chunke Islami Naye Saal (Islamic New Year) Ka Aagaz Hota Hai To Musalmano’n Me Raij Hai Ke Wo Is Saal Ki Mubarakbad Dete Hain Aur Bahut Se Musalman Angrezi Naye Saal Ki Mubarakbad Bhi Pesh Karte Hain Jo Ke 1 January Se Shuru Hota Hai Aur Ye Mubarakbad Dena SharAn Na BidAt e Saiya (Buri BidAt) Hai Aur Na Sunnat Balke Mubah o Jaiz Hai.

 

Chunanche Yakum Muharramul’Haraam (1st Muharram) Me Islami Naye Saal (Hijri/Islamic New Year) Aur 1st January Me Angrezi Naye Saal (Eisvi New Year) Ki Mubarakbad Dene Ke Jaiz o Mubah Hone Par Darj e Zail Chand Dalail Zikr Kiye Jate Hain: (Admin)

 

1- “Imam Jalaluddin Suyuti Shafai RehmatullahAlaih Ne Tehrir Farmaya,

 

” قال القمولي في الجواهر : لم أر لأصحابنا كلاما في التهنئة بالعيدين و الأعوام و الأشهر كما يفعله الناس و رأيت فيما نقل من فوائد الشيخ زكي الدين عبد العظيم المنذري أن الحافظ أبا الحسن المقدسي سئل عن التهنئة في أوائل الشهور و السنين أ هو بدعة أم لا ؟ “

فأجاب بأن الناس لم يزالوا مختلفين في ذلك.”

قال: و الذي أراه أنه مباح ليس بسنة و لا بدعة.”

و نقلہ الشرف الغزی فی شرح المنھاج و لم یزد علیہ”

 

Yani (Ahmad Bin Muhammad) Qamuli (Shafai) RehmatullahAlaih Ne “Jawahir ” Me Farmaya,

Mai Ne Eidain, Saalo’n Aur Mahino Ki Mubarakbad Dene Ke Bare Me Apne AsHab Ka Koi Kalaam Nahi Dekha Jaisa Ke Log Ise Kehte Hain (Yani Mubarakbad Dete Hain) Aur Mai Ne Is Me Dekha Jis Me Shaikh ZakiudDeen AbdulAzeez Munziri Ke Fawaid Se Naql Kiya Gaya Ke BeShak Hafiz AbulHasan Muqaddasi RehmatullahAlaih Se Mahino’n Aur Saalo’n Ki Mubarakbad Dene Ke Mutalliq Puchha Gaya Ke Kya Wo BidAt Hai Ya Nahi?

To Jawab Diya Ke:

Log Is Bare Me Mukhtalif Rahe Hai,

(Aur) Farmaya: Aur Wo Jise Mai Khayal Karta Hu’n Wo Ye Hai Ke Ye (Mubarakbad Dena) Mubah (Jaiz) Hai, Na Sunnat Hai Aur Na BidAt.

 

Aur Isko Sharaf Gazi Ne SharhulMinhaj Me Naql Farmaya Hai Aur Is Par Zyadati Nahi Ki.

📚 WusululAmani Ba UsoolutTehani, Safa 51/52

 

2- ShariAt Ne Naye Saal Ki Mubarakbad Dene Se Mana Nahi Kiya Aur Jis Kaam Se ShariAt Mana Na Kare Wo Bilkul Jaiz Hota Hai.

 

Jaisa Ke Hadis e Mubarka Hai:

” اَلْحَلاَلُ مَااَحَلَّ اللّٰہُ فِیْ کِتَابِہٖ وَالْحَرَامُ مَاحَرَّمَ اللّٰہُ فِیْ کِتَابِہٖ وَمَاسَکَتَ عَنْہُ فَھُوَمِمَّاعَفَاعَنْہٗ “

Yani Halal Wo Hai Jise Allah Ne Apni Kitab Me Halal Kiya Aur Haram Wo Hai Jise Allah Ne Apni Kitab Me Haram Kiya Aur Jis Se Khamoshi Ikhteyar Farmati (Yani Mana Na Farmaya) Wo Muaf Hai (Yani Us Ke Karne Par Koi Gunah Nahi).

📚 Jame Trimizi, Ibne Maja, AlMustadrakLilHakim

 

3- Islami Naya Saal Aur Muharramul’Haraam Ka Mahina Humare Liye Mubarak Aur Achchha Hai Aur Mubarak o Achchhi Chiz Ki Mubarakbad Dene Ki Asl, Sahi Hadis e Mubarka Se Sabit Hai.

 

Chunanche Meraj Ki Raat Jab Nabi e Paakﷺ Ka Guzar Aasmano’n Se Hua To Ambiya AlaihimusSalatoWasSalam Ne Aapﷺ Ko Meraj Par Mubarakbad Pesh Ki

(Jaisa Ke Ahadis Ki MashHoor Kitabo’n Me Hai)

 

Note:

Naye Saal (New Year) Ki Mubarakbad Dene Ke Sath Sath In Alfaz Ke Sath Dua Bhi Mangni Chahiye Jin Ke Sath Sahaba e Kiram RadiAllahuTaAalaAnhum Ek Dusre Ko Dua Sikhaya Karte The.

 

Chunanche Hazrat Abdullah Bin Hisham RadiAllahuTaAalaAnh Se Riwayat Hai Ke Jab Naya Saal Shuru Hota To Aaqa Kareemﷺ Ke Sahaba Ek Dusre Ko Ye Dua Sikhate:

“اَللّٰھُمَّ اَدْخِلْہٗ عَلَیْنَا بِالْاَمْنِ وَ الْاِیْمَانِ وَ السَّلاَمَةِ وَ الْاِسْلاَمِ وَ رِضْوَانٍ مِّنَ الرَّحْمٰنِ وَ جوَارِِ مِّنَ الشَّیْطَانِ”

Tarjma: Aye Alah! Is (Naye Saal) Ko Humare Upar Aman Aur Iman, Salamati Aur Islam, Rehman Ki Khushnudi Aur Shaitan Se Hifazat Ke Sath Dakhil Farmaya

📚 AlMuajjamulAusat, Jild 6, Hadees 6241, Safa 221.

📚 MajmauzZawaid, Hadees 17150. 📚 MuajmusSahaba, Jild 3, Hadees 1539, Safa 543

📝 (Hazrat Mufti) AbuUsaid Ubaid Raza Madani

 

> Jashn e Eid-MiladunNabiﷺ Kise Manana Chahiye

 

Aur Ek Suwal Ke Jawab Me Hazrat Mufti Imtiyaz Husain Qadri Lakhnawi Tehrir Farmate Hain:

 

Suwal: AssalamuAlaikum, Kya Farmate Hain Ulma e Deen o Muftiyan e Shara e Mateen MasAla e Zail Me Ke Zaid Muharramul’Haraam Me Islami Naye (Islamic New Year) Ki Ibtida Hone Par Logo Ko Mubarakbad Pesh Karta Hai Bakar Kehta Hai Ye Durust Nahi Hai Ye Gam (Ranj/Dukh) Ka Mahina Hai Sab Ko Gam (Ranj/Dukh) Manana Chahiye QurAan o Hadees Se Mufassal Jawab Inayat Farma Kar Indallah Majoor Ho’n.

> Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ

Jawab: Wa AlaikumusSalamu Wa Rehmatullah.

 

الجواب بعون الملك الوهاب

Surat e Mustafsira (Puchhi Gayi Surat) Ke Mutalliq Bakar Ka Qaul Galat Hai Kyun Ke Muharramul’Haraam Sog wa Gam (Ranj o Gam) Manane Ka Mahina Nahi Hai Balke Agar Koi Is Mahine Me Sog Manane Ki Niyat Se Sabz o Siyah (Hare Aur Kale) Kapde Bhi Pahene To Jaiz Nahi,

 

Jaisa Ke Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Barelvi RehmatullahAlaih Ne Tehrir Farmaya Hai:

” Muharram Me Sabz Aur Siyah Kapde Alamat e Sog Hain Aur Sog Haram Hai ”

📚 Fatawa Razviya, KitabulKhatar, Jild 23, Safa 750

> Abu Jahal Huzur ﷺ Ka Chacha Hai Ya Nahi?

Lehaza Sabit Ho Gaya Ke Muharramul’Haraam Ko Gam o Sog Ka Mahina Manna Jehalat Hai Is Se Gurez (Bachna) Lazim Hai

 

Neez Zaid Ko Naye Saal Par Bataur Lahw o La’ib Mubarakbad Pesh Karne Me Pehel Karna Munasib Nahi Hai Kyun Ke Ye Maah o Saal Ka Guzar Jana Kisi Khushi Ki Baat Nahi Jis Par Mubarakbad Diya Jaye Balke Hume To Is Par Gaur o Fikr Karna Chahiye Ke Hum Ne Apni Zindagi Kaise Guzari Apne Nafs Ka Muhasba

Kare’n Kyun Ke Hazrat e Umar Farooq RadiAllahuTaAalaAnh Ne Farmaya:

” حاسِبوا أنفسَكم قبل أن تحاسبوا “

 

Lehaza Naya Saal Aane Par Ummat e Muslima Ko To Ye Zaiba Deta Hai Ke Apne Guzishta Saal Par Gaur o Fikr Kare Aur Aayinda Neki Karne Ke Liye Apni Zindagi Ko Waqf Kar De.

 

Lekin….. Agar Koi Is Niyat Se Mubarakbad Pesh Kare Ke Is Naye Saal Hume Tauba Aur Nek Amal Kamane Ka Mazeed Mauqa Mayassar Aa Sakta Hai. Ye Mubarakbad Khushi Aur Allahﷻ Ke Shukr Ka IzHar Ho Ayso’n Ke Mubarakbad Qubool Karne Me Koi Harj Nahi Aur Us Ka Jawab Bhi Dene Me Koi Harj Nahi.

 

Hazrat e Abdullah Bin Hisham RadiAllahuTaAalaAnh Ki Riwayat Jise Imam Tibrani Ne Al-Ausat Me Darj Kiya,

Isme Wo Farmate Hain Ke:

 

” كان أصحاب النبي صلی الله علیه وآله وسلم يتعلمون هذا الدعاء إذا دخلت السنة أو الشهر: اللهم أدخله علينا بالأمن والإيمان، والسلامة و الإسلام، و رضوان من الرحمن، و جواز من الشيطان. “

 

(Yani) Naye Saal Ya Mahine Ki Aamad Pe Sahaba e Kiram RidwanullahiAlaihimAjmaeen Ek Dusre Ko Ye Dua Sikahte The: Aye Allah ! Hume Is Me Aman, Iman, Salamati Aur Islam Ke Sath Dakhil Farma. Shaitan Ke Hamlo’n Se Bacha Aur Rahman Ki Raza Mandi Ata Farma.

 

📚 Tibrani, Al-Ausat

> Peer Sahab Se Parda Karna Chahiye Ya Nahi?

Hasil e Kalaam Ye Hai Ke Naye Saal Par Mubarakbad Pesh Karne Ko Apne Upar Lazim o Zaruri Guman Kar Ke Ise Pesh Na Kiya Jaye Lekin Agar Koi Pehel Kar De To Us Ke Jawab Me

” کل عام و انت بخير “

Ya ” Aapko Bhi Mubarak Ho ” Wagairah Ke Alfaz Kehne Me Koi Qabahat Nahi

 

هذا ما ظهر لي و الله سبحانه وتعالى أعلم بالصواب

📝 Hazrat Mufti Imtiyaz Husain Qadri Lakhnawi

✍️ Muhammad Rafi Raza Qadri,Bareilly Sharif, India

> Peer Sahab Se Parda Karna Chahiye Ya Nahi?

> Gaus e Aazam Ke Dhobi Ka Qabr Wala Waqya Motbar Hai Ya Nahi?

Leave a Reply