Home / Quiz / Ambiya / Jashn e Eid-MiladunNabiﷺ Kise Manana Chahiye

Jashn e Eid-MiladunNabiﷺ Kise Manana Chahiye

 

Jashn e Eid-MiladunNabiﷺ Kise Manana Chahiye

☛ Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ

Us Maa’n Ko, Jis Ka Apna Beta Uske Gale Me Rassi Daal Kar Usko Bech Aata Tha. Ye To RehmatullilAalaminﷺ Hi Hain Jinho Ne Ne Farma Diya, “Maa’n Ki Khidmat Ko Apne Upar Lazim Kar Lo Kyun Ke Jannat Uske Qadam Ke Paas Hai”

📔 Sunane Nasai, Jild 4

 

Us Baap Ko, Jiske Bete Use Dando PeetTe Aur Galiya’n Dete The. Ye To Huzur Jaan e Aalamﷺ Hi Hain Jinho Ne Irshad Farmaya “Walid Ki Raza Me Allahﷻ Ki Raza Hai Aur Allahﷻ Ki Narazgi Walid Ki Narazgi Me Hai”

📔 Jaame Tirmizi, Jild 3

 

Us Beti Ko, Jise Paida Hote Hi Zinda Dafn Kar Diya Jata Tha. Ye To Nabi e Kareem Rauoof o Rahimﷺ Hi Hain Jinho Ne Farmaya “Jis Ki Ek Bachchi Ho Aur Wo Use Zinda Dafn Na Kare Aur Na Hi Use Haqir (Kamtar) Jaane, Aur Na Hi Apne Bete Ko Us Par Tarjih (Bartari) De To Allahﷻ Use Jannat Me Dakhil Farmayega”

📔 Sunane AbuDauood, Jild 4

 

Us Biwi Ko, Jise Uska Shauhar Chyunti Se Bhi Kamtar Samajhta Tha. Ye To Sayyidil Mehbubinﷺ Hi Hain Jinho Ne Farmaya “Tum Me Sab Se Behtar Wo Hai Jo Apni Biwi Ke Haq Me Behtar Ho”

📔 Jaame Tirmizi

 

Us Shauhar Ko, Jis Ka Maqam o Martaba Uski Biwi Ko Talim Karte Hue Mehbube Rabbe Akbarﷺ Ne Farmaya “Agar Mai Kisi Ko Kis Ke Liye Sajde Ka Hukm Deta To Aurat Ko Hukm Deta Ke Wo Apne Shauhar Ko Sajda Kare”

📔 Sunane Ibne Maja, Jild 4

تحقیق رضا تاریخ ولادت و وصال مصطفےٰ

☞  Un Behno’n, Khaluo’n, Phuphiyo’n, Naniyo’n Aur Dadiyo’n Ko, Jin Ki Kifalat (Zimmedari) Ki Fazilat Me Nabi e Rehmat Shafi e Ummatﷺ Ne Irshad Farmaya “Jisne Do Betiyo’n Ya Do Behno’n Ya Do Khalao’n Ya Do Phuphiyo’n Ya Nani Aur Dadi Ki Kifalat Ki To Wo Aur Mai Jannat Me Honge, Phir Apni Shahadat Aur Uske Sath Wali Ungli Ko Milaya”

📔 AlMuajmaulKabir, Jild 22

 

Us Yatim Aur Bewa Ko, Jinki Jaan o Maal Ki Logo Ke Nazdik Koi Hurmat (Izzat, Qadr) Na Thi. Ye To Shahanshah e Madinaﷺ Hi Hain Jinho Ne Irshad Farmaya “Jisne Kisi Yatim Ya Bewa Ki Kifalat (Zimmedari) Ki Allahﷻ Use Qayamat Ke Din Apne Arsh Ke Saaye Me Jagah Ata Farmayega”

📔 AlMaujamaulAusat, Jild 4

 

☞  Us Garib Ko, Jise Bhed Bakriyo’n Ki Tarah Becha Jata Tha. Ye To Aaqa e Do Jaha’nﷺ Hi Hain Jo In Bekaso Ka Sahara Bane Aur Irshad Farmaya “Meri Ummat Fuqra (Garib) Maaldar Logo Se 500 Saal Pehle Jannat Me Dakhil Ho Jayenge”

📔 Jaame Tirmizi

 

Us Mazdoor Ko, Jise Uska Haq Dilane Ke Liye Pyare Aaqa o Maulaﷺ Ne Irshad Farmaya “Mazdoor Ki Mazdoori Uska Pasina Sukhne Se Pehle Dedo”

📔 Sunane Ibne Maja, Jild 3

 

Us Ameer Ko, Ke Jiske Maal Ko Sarwar e Aalamﷺ Ne Uske Liye Zariya e Nijat Bana Diya Ke Zakat, Sadqa o Khairat Kar Ke Jannat Me Apna Maqam Bana Le

📔 Bukhari Sharif

 

Us Maulvi Ko, Jis Ki Log Sirf Nabi e Akramﷺ Ke Is Irshad Ki Wajah Se Tazim o Takrim (Izzat/Ehtram) Karte Hain “BeShak Ulma Waris e Ambiya Hain”

📔 Sunane Tirmizi, Jild 4

 

Us Puri Ummat Ko, Jis Ummat Ke Liye Sirf Ummat e Muhammadi Hone Ke Sabab Allahﷻ Ne Wahi Farmayi “Jab Tak Mere Mehbubﷺ Ki Ummat Jannat Me Dakhil Na Ho Jaye Tamam Ummato’n Par Wo Haraam Rahegi”

📔 Ahya e Uloom e Deen, Jild 5

☛ Wahabiyo”n Se Bachcho’n Ko Talim Dilana Kaisa Hai?

Phir Bhi Agar Kuch Log Us Rehmat e Aalam, Mohsin e Aazam, Rasool e Akram, Nabi e Mukarram, Shafi e MuAzzam, Noor e Mujassamﷺ Ke Milad Ki Khushi Manane Par Musalman Ko MaAzaAllah Kafir, Mushrik, BidAti Aur Na Jane Kya Kya Bakwasat Karte Hain To Ayse NamakHaraam, Gaddar, Bagi, Sarkash, Ehsan Faramosh Logo Ke Liye Yahi Paigam Hai

 

Zalimo’n Mehbubﷺ Ka Haq Tha Yahi?

Ishq     Ke     Badle      Adawat      Kijiye?

 

Aur Tum Par Mere Aaqaﷺ Inayat Na Sahi

Munkiro’n Kalma Padhane Ka Bhi Ehsan Gaya?

~ Imam e AhleSunnat Sarkar Aala Hazrat

Leave a Reply