Jeb Me Zewar Rakh Kar Namaz Padhna Kaisa Hai ?
☞ Quiz: Anguthi, Chhalle, Taweez Aur Dore Wagairah
Jeb (Pocket) Me Sone (Gold), Chandi (Silver), Tambe (Copper), Peetal (Brass), Ya Lohe (Iron) Wagairah Ke Zewar (Jewellery) Rakh Kar Namaz Padhna BilaKarahat Jaiz Hai Kyun Ke Mard Ko (Chandi Ki Ek Anguthi Ke Alawa) In Zewrat (Jewellery) Ka Pahenna Haraam Hai Lekin Jeb Wagairah Me Rakhna Jaiz…..
☞ Islami Ya Angrezi Naye Saal Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai ?
Bahar e ShariAt Me Hai:
Balke Dusri Dhat Maslan Tambe (Copper), Peetal (Brass), Lohe (Iron) Wagairah Ki Chaino’n (Chain) Ka Bhi Yahi Hukm Hai, Kyun Ke In Dhato’n Ka Bhi Pahenna NaJaiz Hai Aur Agar In Chizo’n Ko Latkaya Nahi Aur Na Kalayi Par Bandha Balke Jeb (Pocket) Me Padi Rehti Hain To NaJaiz Nahi Ke In Ke Pahenne Se MumaniAt Hai, Jeb (Pocket) Me Rakhna Mana Nahi.
📗 Bahar e ShariAt, Jild 3, Hissa 16.
☞ Tanbe Peetal Aur Lohe Ke Zewar Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?
Lehaza Agar Kisi Ne Zewrat (Jewellery) Ko Jeb (Pocket) Me Rakh Kar Namaz Ada Ki To Namaz Ho Gayi Namaz Me Kisi Qism Ki Koi Karahat Na Aayi….
وَاللہُ اَعْلَمُﷻ وَرَسُوْلُہ اَعْلَمﷺ
2 comments
Pingback: Newta Ka Sharai Hukm Kya Hai ? • IslamiShariat.com
Pingback: Ramazan Ke Roze Aur Gyarah (11) Galat Fehmiya'n • IslamiShariat.com