Jo Qurbani Nahi Kar Sakte Unke Liye Qurbani Ka Sawab (Aur Hajamat Ki Manahi)
Jis Ne Zil’Hijjah (Eid’Al’Azha) Ka Chand Dekh Liya Aur Uska Erada QurBani Karane Ka Hai
To Jab Tak QurBani Na Karle Baal Aur Nakhun Na Katwaye
>Tirmizi Sharif
Kitabul’Adha Hadis. 1523 Safa. 360
Abdullah Bin Umar RadiAllahuTaAalaAnhuma Se Riwayat Hai Ke.
Rasulullah ﷺ Ne Farmaya Mujhe Yaum e Azha Ka Hukm Diya Gaya Is Din Ko Allah ﷻ Ne Is Ummat Ke Liye Eid Banaya.
Ek Shakhs Ne Arz Ki YaRasulullah ﷺ Ye Bataiye Agar Mere Paas *Maniha Ke Siwa Koi Janwar Na Ho To Kya Usi Ki QurBani Kar Du’n?
Aap ﷺ Ne Farmaya Nahi. Haa’n Tum Apne Baal Aur Nakhun Katwao Aur Moonche Tarashwao Aur *Mue Zere Naaf Saaf Karo Isi Me Tumhari QurBani Allah ﷻ Ke Nazdiq Puri Ho Jayegi ,
>Abu’Dauod Sharif
Kitabuddhehaya. Hadis 2789. Jild 2. Safa 93
Yani Jisko QurBani Ki Taufiq Na Ho Use In Chizo’n Ke Karne (Baal. Nakhun. Wagairah Katwane) Se QurBani Ka Sawab Hasil Hoga,
Mufassir e Shaheer Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeimi Rehmatullah,
Ek Hadis e Paak (Jab Ashra Aa Jaye Aur Tum Me Se Koi QurBani Karna Chahe To Apne Baal. Khaal. Nakhun Ko Bilkul Na Kaate) Ke Tahet Farmate Hain.
Ameer Jo Wajib QurBani Aur Faqeer Jo Nafli QurBani Ka Irada Kare Wo Zil’Hijjah Ka Chand Dekhne Se QurBani Karne Tak Nakhun Baal Aur Badan Ki Bekar Khal Na Kaate Aur Na Katwaye Take Hajiyo Se Kuch Bushabehat Ho Jaye Ke Wo Log Ehram Me Hajaamat Nahi Kara Sakte Take QurBani Har Baal o Nakhun (Ke Liye Jahannam Se Aazadi) Ka Zariya Ban Jaye,
Ye Huk Mustaheb Hai Wajib Nahi
Aur Jaha’n Tak Ho Sake Mustaheb Par Bhi Amal Karna Chahiye.
Lekin Agar Kisi Ne Agar Kisi Ne Baal o Nakhun Kaat Liye To Gunah Bhi Nahi
Aur Aysa Karne Se QurBani Me Koi Farq Bhi Nahi Aata QurBani Durust Ho Jati Hai.
Lehaza QurBani Wale Ka Hajamat Na Karana Behtar Hai Zaruri Nahi.
>Matalib
*Maniha. Us Janwar Ko Kehte Hain Jo Dusre Ne Use Is Liye Diya Hai Ke Ye Kuch Dino Uske Dudh Wagairah Se Fayda Uthaye Phir Uske Malik Ko Wapas Karde,
*Mue Zere Naaf. Naaf Ke Niche Ke Baal Yani Sharmgah Ke Baal,
One comment
Pingback: Qurbani Ke Mutalliq Galat Fehmiya'n Aur Unki Islah • IslamiShariat.com