Kya Khana Khate Waqt Chup Chap Rehna Zaruri Hai?
➡️ Biwi Ke Sath Humbistari Se Pehle Bismillah Padhna Kaisa Hai?
Galat Mas’ala
Baaz Logo Me Ye Mash’hoor Hai Ke
Khana Khate Waqt Bolna Jaiz Nahi.
Chahe Wo Deeni Baat Hi Kyun Na Ho.
Balke Khamoshi Se Khana Khana Chahiye
Ye Logo Ki Galat Fehmi Aur BeAsl Baat Hai,
➡️ Sote Hue Shakhs Ko Namaz Ke Liye Uthana Kaisa Hai?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Khana Khate Waqt Zikr e Khair Karna Chahiye.
Bilkul Khamosh Rehna Majusiyo’n Ki Alamat Hai
Is Liye Khana Khate Waqt Bilkul Chup Nahi Rehna Chahiye.
Balke Kuch Islam Ki Nasihat Aamez Baate’n Karna Chahiye.
Aala Hazrat Mujaddid e Aazam Se Kisi Ne Suwal Kiya To Aapne Irshad Farmaya
Ke Khana Khate Waqt Itezam Karlena Na Bolne Ki Ye Aadat Hai Majus Ki Aur Makruh Hai.
Aur Lagu Baate’n Karna Har Waqr Makruh Hai Aur Zikr e Khair Karna Jaiz
📖 Al’Malfuz Hissa 4 Safa 13,
Masha’Allah
Bahut Hi Behtar Jankari
*جزاکم الله احسن الجزاء*