Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Khutba Ke Waqt Chanda Karna Kaisa Hai?

Khutba Ke Waqt Chanda Karna Kaisa Hai?

Khutba Ke Darmiyan Chanda Karna Kais Hai?

➡️ Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa 

Galat Mas’ala

Baaz Log Juma Ke Din
Khutba Ke Waqt Dabba Ya Rumal Hila Kar Aawaz Karte Hue Logo Se Chanda Mangte Hain.
Taamir e Masjid Ka Chanda Dijiye Aur Kehte Hain Ke Ye Deeni Kaam Hai
Is Liye Khutba Ke Waqt Bhi Jaiz Hai.
Halanke Ye BeAsal Aur Masjid Ke Mutawalli Wa Arakin Ki
Galat Fehmi Hai,

➡️Aala Ek Nazar Me

➡️Mufti e Azam e Hind Ek Nazar Me

Sahi Mas’ala

Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Aen Khutba (Khas Khutba) Ke Waqt Is Tarah Chanda Mangna Jaiz Nahi
Ke Tamam Hazirin Par Khutba Sunna Aur Chup Rehna Farz Hai.
Yahan Tak Ke Jab Imam Khutba Ke Liye Nikle Usi Waqt Se Namaz o Azkar Mana Hai.
Sirf *Sahib e Tartib Ko Qaza Namaz Padh Lene Ka Hukm Hai.

SadarushShariah 
Durre Mukhtar Ke Hawale Se Bayan Farmate Hain…

Jo Chize’n Namaz Me Haraam Hain Maslan Khana. peena. Salam. Jawab e Salam Wagairah Ye Sab Khutba Ki Haalat Me Bhi Haram Hain.
Aur Jab Namaz Jaisa Deeni Kaam Halat e Khutba Me Jaiz Nahi To Chanda Mangna Badarja e Aola NaJaiz Hai.
Is Liye Arakin e Masjid Ko Chahiye Ke Khatib Ke Membar Par Aane Se Pehle Ye Sab Kaam Karle’n,

📖 Bahare Shariat, Fatawa FaizurRasul Jild 1 Safa 418,

➡️Khutba Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?

*Sahib e Tartib,
Wo Shakhs Hai Jiski Baligh Hone Ke Baad Se Lagatar 5 Farz Namazo’n Se Zyada Koi Namaz Qaza Na Hui Ho,

➡️Namaz Me Seene Ke Batan Khule Rakhna Kaisa Hai?

➡️Kya Dahine Pair Ka Angutha Hatne Se Namaz Nahi Hogi?

Leave a Reply