Juma Me Khutba Ke Waqt Durud Padhna Kaisa Hai?
➡️ Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ
Galat Mas’ala
Aksar Ye Dekha Jata Hai Ke
Jab Imam Khutba Me Huzur e Aqdas Ka Naam e Mubarak Lete Hain.
To Samaein (Sunne Wale) Aawaz Se Durud
Sharif Padhte Hain.
➡️ Khutba Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Khutba Me Agar Huzur e Aqdas Ka Naam e Mubarak Aaye To Zuban Se Durud Sharif Padhna Mana Hai,
SadarushShariah Badaruttariqah
Bahare Shariat Hissa 4 Safa 103 Me Tehrir Farmate Hain.
Agar Huzur e Aqdas Ka Naam e Paak Khatib (Khutba Padhne Wale) Liya To Samaein (Sunne Wale) Dil Me Durud Sharif Padhe’n Zuban Se Us Waqt Padhne Ki Ijazat Nahi.
Yunhi Sahaba e Kiram Ke Zikr Par RadiAllahuAnhum Zuban Se Kehne Ki ijazat Nahi
📖 Durre Mukhtar/Bahare Shariat
📰IslamiShariat.com Padhte Rahiye Jante Rahiye,
➡️ Na’Baaligh Ki Imamat Kaisi Hai?
➡️ Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai?