Khutba Ki Azan Masjid Ke Andar Padha Kaisa Hai?
➡️ Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ
Galat Mas’ala
Aaj Kal Log Is Baat Par Bahut Zyada Amal Kar Rahe Ke
Juma Ke Din KhutbaKi Azan Masjid Ke Andar Padhte Hain.
Halanke Ye Bikul BeAsl Aur Logo Ki Galat Fehmi Hai,
➡️ Khutba Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Juma Ki Dusri Azan Yani Azan e Sani Masjid Ke Bahar Khatib (Khutba Padhne Wale) Ke Samne Padhi Jaye
Kyun Ke Sarkar e Aqdas Aur Khulfa e Rashideen Ke Zamana e Mubarak Me Khutba Ki Azan Masjid Ke Bahar Darwaze Par Hua Karti Thi.
Jaisa Ke Hadis e Paak Me Hazrat e Saib Bin Yazid Se Marvi Hai Ke
Unho Ne Farmaya Jab Rasool e Karim Juma Ke Din Mimbar Par Raunaq Afroz Hote Huzur Ke Samne Masjid Ke Darwaze Par Azan Hoti,
Aur Ayse Hi Hazrat e Abubakr o Umar Ke Zamane Me Raej Tha
📖 AbuDaud Sabrif Jild 1 Safa 162
Fiqah e Hanafi Ki Tamam Kitabo’n Me Ye Baat Saaf Likhi Hui Hai Ke
Koi Azan Masjid Ke Andar Na Padhi Jaye.
Lehaza Tamam Musalmano Ko Chahiye Ke Masjid Ke Andar Azan Padhne Se Parhez Kare’n
Kyun Ke Ye Nabi e Paak Sahib e Laulak Ki Pyari Sunnat Ko Chhodna Hai,
📖 AbuDaud Sharif Jild 1 Safa 162. Fatawa Aalamgiri. Fatawa FaizurRasul Jild 1
Subhan allah
جزاکم اللہ احسن الجزاء