Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Khutbe Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?

Khutbe Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?

Khutba Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?

Galat Mas’ala

Aksar Ye Bhi Dekha Jata Hai Ke
Log Juma Ki Namaz Ke Liye Khutba Ke Waqt Aate Hain
Us Waqt Khateeb (Khutba Padhne Wale) Mimbar Par Khutba Padh Rahe Hote Hain
Aur Kuch Log Sunnate’n Padhna Shuru Kar Dete Hai
Halanke Logo Ka Ye Tariqa Galat Hai

Sahi Mas’ala

Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Khutba Ke Waqt Namaz Padhna Bilkul Mana Hai
Jaisa Ke Fiqah e Hanafi Ki Mash’hoor Kitab
HIDAYA SHARIF Me Hai
اذا خرج الامام یوم الجمعۃ ترک الناس الصلوٰۃ والکلام متیٰ یفرغ عن خطبۃ

Yani Jab Imam Juma Ke Din Khutba Ke Liye Aaye To Log Namaz Aur Guftgu Us Waqt Tak Chhor De’n Jab Tak Imam Khutba Se Farig Na Ho Jaye

Aur Faqih e Aazam e Hind Hazrat SadarushShariah
Bahare Shariat Hissa 4 Safa 102 Par Tehrir Farmate Hain
Jab Imam Khutba Ke Liye Khada Ho To Us Waqt Se Khatm Namaz Tak
Namaz. Zikr. Har Qism Ka Kalaam Mana Hai
📚 Hidaya. Bahare Shariat

Leave a Reply