Kya Aurate’n Miswak Nahi Kar Sakti?
➡️ Khana Khate Waqt Chup Rehna Kaisa Hai?
Galat Fehmi
Kuch Log Ye Bhi Kehte Hain Ke
Aurat Miswak Nahi Kar Sakti.
Ye Bilkul Awam Ki Galat Sonch Aur Fizul Baat Hai.
➡️Azan Ke Waqt Baate’n Karna Kaisa Hai?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Aurate’n Bhi Miswak Kar Sakti Hain.
Balke Ummul Mominin Hazrat e Aayisha Siddiqah Ki Sunnat Bhi Hai.
Isi Tarah Ka Suwal Aala Hazrat Mujaddid e Aazam Imam Ahmad Raza Se Kiya Gaya
To Aapne Irshad Farmaya Ke
Aurato’n Ke Liye Miswak Karna Hazrat e Aayisha Siddiqah Ki Sunnat Hai Lekin Agar Wo Na Kare’n To Harj Nahi.
Unke Dant Aur Masudhe Mardo’n Ki Nisbat Kamzor Hote Hain.
Unke Liye Massi Kafi Hai
Massi Ek Qism Ka Safuf Manjan Hota Hai Jis Se Masudhe Aur Honth Rang Jate Hain.
(Note: Iske Alawa Bhi Agar Koi Chiz Istemal Ki Jaye To Koi Harj Nahi)
📖 Fatawa Razviya Sharif