Home / Tehqiq / Kya Cheque Ke Zariye Heela e Sharai Ya Zakat Ada Ho Sakti Hai ?

Kya Cheque Ke Zariye Heela e Sharai Ya Zakat Ada Ho Sakti Hai ?

 

Suwal: Kya Cheque Ke Zariye Heela e Sharai Ya Zakat Ada Ho Sakti Hai ?

 

Jawab: Nahi Ho Sakta Ke Heela e Sharai Me Haqdar e Zakat Ko Maal e Zakat Ka Malik Banaya Jata Hai, Aur Cheque Maal Nahi Balke Sanad e Maal Hai, Yahi Wajah Hai Ke Cheque Ke Zariye Zakat Ki Adaydi Durust Nahi.

 

Majlis e Sharai Ke Faisle Me Hai:

Cheque Ek Sanad e Zar (Maal Ki Sanad) Hai Aur Is Haisiyat Se Wo Maal e Matqoom (Jis Ki Koi Qimat Ho) Nahi.

📕 Majlis e Sharai Ke Faisle, Safa 159

 

Fatawa Razviya Sharif Me Sarkar Aala Hazrat RadiAllahuTaAalaAnh Note Aur Cheque Ki Haqiqat Yu’n Tehrir Farmate Hain,

أقول بل من ارداء الشكوك توهم أنه سند من قبيل الصكوك أى أن السلطنة التي تروج هذه القراطيس تستدين من آخذيها الدراهم وتعطيهم هذه تذكرة لديونهم ولمقاديرها فإذا جاؤا بها إلي السلطنة قضتهم ديونهم و أخذت قراطيس،،

📕 Fatawa Razviya, Jild 7, Safa 129

 

ShaeKarda: Fm-Foundation

Leave a Reply