Galat Mas’ala
Logo Me Mash’hoor Hai Ke
Gusl Karte Waqt Jo Wuzu Kiya Jata Hai Us Se Namaz Nahi Hoti Namaz Ke Liye Dobara Wuzu Karna Zaruri Hai,
Ye Awaam Ki Galat Fehmi Aur BeAsl Baat Hai.
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’Ala Ye Hai Ke Dobara Wuzu Karne Ki Zarurat Nahi Gusl Ke Sath Kiye Gaye Wuzu Se Namaz Ho Jati Hai
Bahar e Shariat Hissa 2 Safa 31 Par
Sunan e Arba Ke Hawale Se Hadis Naql Ki Gayi Hai Ke Ummul Mominin Hazrat e Aayisha Siddiqah RadiAllahuTaAalaAnha Farmati Hain
Ke Nabi e Paak ﷺ Gusl Ke Baad Wuzu Nahi Farmate.
Aur Fiqah Ki Mustanad Kitab
Durr e Mukhtar Me Hai
لو تؤضـٔـااولا لایاتی بہ ثانیاًلانه لایستجب وضوء ان للغسل اتفاقاً