Galat Mas’ala
Awaam Me Mash’hoor Hai Ke
Agar Namaz e Janaza Ke Liye Wuzu Kiya To Us Wuzu Se Panj’Waqta Namaz Nahi Padh Sakte Farz Namaz Ke Liye Dobara Wuzu Karna Zaruri Hai.
Ye Awaam Ki Galat Fehmi Aur BeBunyad Baat Hai,
Gaus e Aazam Ke Dhobi Ka Qabr Wala Waqya Motbar Hai Ya Nahi?
Sahi Mas’ala
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Agar Namaz e Janaza Ke Liye Wuzu Kiya Hai Aur Wo Wuzu Baqi Hai To Usi Wuzu Se Panj’Waqta Aur Dusri Ibadate’n Bhi Ada Kar Sakte Hain.
Faqih e Millat Mufti Jalaluddin Amjadi AlaihirRehmah Farmate Hain Ke
Jo Wuzu Sirf Namaz e Janaza Padhne Ki Niyat Se Kiya Phir Usi Wuzu Se Dusri Namaz Padhi To Wo Ada Ho Gayi
Kisi Dusre Farz Ya Sunnat Ke Dobara Wuzu Karna Zaruri Nahi
📚 Fatawa FaizurRasul Jild 1 Safa 163