Kalma e Tayyiba Ka Zikr Qur’Aan Me
Sawal….
Baaz Log Ye Etraz Karte Hain Ke Kalam e Tayyiba Jise Kalma e Islam Bhi Kehte Hain Iska Zikr Qur’Aan Me Nahi Hai
Kya Itni Bunyadi Chhiz Qur’Aan Me NazarAndaz Ki Ja Sakti Hai..?
Jawab….
Qur’Aan Kisi Ek Aayat Kisi Ek Surat Ya Kisi Ek Juz (Hissa) Ka Naam Nahi Hai.
Balke Pura Qur’Aan Allah Ka Kalaam Hai Saare Qur’Aan Par Lafzan Wa Manan (Lafz Aur Matlab Par) Iman Farz e Aen Hai Kisi Ek Aayat Ka Inkar Pure Qur’Aan Ke Inkar Ki Tarah Hai
Qur’Aan Majeed Ek Baar Me Nazil Nahi Hua Balke Waqtan Fa Waqtan (Zarurat Ke Waqt) Allah Ta’Aala Ki Hikmat Se Nazil Kiya Jata Raha
Is Liye Qur’Aan Majeed Me Aqaid, Masail o Ahkam, Qasas o Waqeyat, Mutafarriq (Alag Alag) Taur Par Bayan Kiye Gaye
La Ilaha Ilallahu Muhammadur Rasoolollah
Ko Kalma e Tayyiba Bhi Kehte Hain Aur Kalma e Islam Bhi Kehte Hain
La Ilaha illallah
Qur’Aan Majeed Ki 37vi Surat As’Saffat Ki Aayat No. 35 Me Mazkur Hai
Aur Muhammadur Rasoolullah
Qur’Aan e Paak Ki 48vi Surat Al’Fatah Ki Aakhri Aayat. Aayat No. 29 Ki Ibteda Me Mazkur Hai
In Dono Ko Yakja (Ek Jagah) Karne Se Kalma e Tayyiba Banta Hai..
>Tafhimul Masail