Home / Fiqah / Namaz / Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?

Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?

Sawal…

Kya Namza e Juma Jo Ke Farz Hai Agar Kisi Wajah Se Chhut Jaye To Kya Uski Qaza Padhi Jayegi?

Jawab…

Namaze Juma Farz e Aaen (Bahut Zaruri Farz) Hai Iski Farziyat Ka Hukm Sura e Juma Ki Aayat No. 9 Me Nazil Hua Hai

Namaz e Juma Ke Chhodne Par Ahadis e Mubarka Me Badi Waeid (Saza Dene Ka Wada) Aayi Hai
Rasulullah SallallhuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke Jis Shakhs Ne Gair Zaruri Aur Mamuli Baat Samajhte Hue 3 Jume Chhod Diye Allah Ta’Aala Uske Dil Par Mohar Laga Dega….
(AbuDaud, Timizi, Nasai)

Phir Bhi Agar Kisi Shakhs Ki Namza e Juma Uzr Ki Bina Par (Jaise Safar, Bimari, Mazuri) Ya BadQismati Se Bila Uzr Chhut Gayi To Us Par Jume Ki Qaza Nahi Balke Wo Zuhar Ki Namaz Padhe…..

(Bahar e Shariat)

3 comments

  1. Assalamu alaikum, jumah ke namaz me wakt kutba ke darmiyan kaise baithna chahiye or kutba me jo duwa hoti hai us duwa ke bad kaise baithna chahiye .

Leave a Reply