Kya Mic, Telephone, Internet, Aur Khat Ke Zariye BaiAt Jaiz Hai?
Mic, Telephone, Internet, Aur Khat Ke Zariye Mureed Hona Aur Is Tarah Ki Dusri Chize’n Jaise Email, Postman (Qasid) Wagairah Ke Zariye Bhi Mureed Ho Sakte Hain,
Mureed Hote Waqt (Time) Zaruri Nahi Ke Peer Ke Samne Ho Balke Agar Peer Se Door Kisi Aur Jagah Ho Tab Bhi BaiAt Jaiz Hai,
Aur Aysi BaiAt To Khud Hadiso Se Sabit Hai.
Jisa Ke Sahi Bukhari Sharif Me Hadis e Mubarak Hai…
Harat e Abdullah Bin Umare (RadiAllahuTaAalaAnhuma) Se Riwayat Hai.
Ke Jab BaiAt e Rizwan Hui To Amirul Mominin Hazrat e Usman e Gani RadiAllahuTaAalaAnh Gayab (Maujud Nahi) The BaiAt Hudaibiya Me Hui Aur Wo Makkah Mukarramah Gaye Hue The.
Rasulullah SallallhuAlaihiWaSallam Ne Apne Dahine Hath (Hand) Ko Farmaya Ye Usman Ka Hath Hai Phir Use Apne Dusre Hath Par Mar Kar Unki Taraf Se BaiAt Farmayi Aur Farmaya Ye Usman Ki BaiAt Hai,
>Sahi Bukhari. Jild 3, Hadis 4066, Page 39,
Darul Kitab Al’ilmiya Bairut
Sayyidi Aala Hazrat Mujaddid e Deen o Millat AshShah Imam Ahmad Raza AlaihirRehman Farmate Hain.
BaiAt Bazariye Khat o Kitabat Bhi Mumkin Hai Ye (Mureed) Darkhwast Likhe Aur Wo (Peer) Qubul Kare,
Aage Likhte Hain…
Mureed Ho Gaya Ke Asal Iradat FeAle Qalb (Asal Aqidat Dil Ka Kaam) Hai
WalQalamu Ahdallisaneen Yani Qalam Bhi Zuban Ki Tarah Hi Hai,
>Fatawa Razviya Jild 26. Page 568,