Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Kya Sajde Me Naak Ki Haddi Dabaye Bagair Namaz Ho Sakti Hai?

Kya Sajde Me Naak Ki Haddi Dabaye Bagair Namaz Ho Sakti Hai?

Galat Mas’ala

Aaj Kal Dekha Gaya Hai Ke Log Sajda Karte Waqt Naak Zamin Par Nahi Lagate Aur Sajda Karlete Hai.
Halanke Ye Galat Hai,

Sahi Mas’ala

Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Sajde Me Naak Zamin Par Laga Kar Haddi Tak Dabana Wajib Hai
To Agar Kisi Ne Is Tarah Sajda Kiya Ke Uski Naak Zamin Par Na Lagi
Ya Zamin Par To Lagi Magar Naak Haddi Tak Na Dabi
To Namaz Makrooh e Tehrimi Wajibul Eyada Hui
Yani Namaz Ko Dobara Padhna Wajib Hai

📚Bahare Shariat Hissa 3
📚 Fatawa FaizurRasul Jild 1 Safa 25
📚 Fatawa Razviya Jild 1 Safa 554

Leave a Reply