Galat Mas’ala
Logo Me Ye Mash’hoor Hai Ke
Sharmgah Par Nazar Padne Se Wuzu Toot Jata Hai
Ye Galat Aur BeBunyad Hai
Sahi Mas’ala
Na Apna Satar (Sharmgah) Dekhne Se Wuzu Toot’ta Hai Na Dusre Ka
Kyun Ke Satar Ka Dekhna *Nawaqiz e Wuzu Me Se Nahi Hai
Lekin Bila Wajah Qasdan (JaanBujhkar) Satar Par Nazar Dalna Aur Satar Ka Khula Rakhna Mana Hai
Aur Kisi Dusre Ke Samne Kholna Haraam Hai.
Haa’n Ye Wuzu Ke Aadaab Se Hai Ke
Naaf Se Zaanu’n Ke Niche Tak Sab Satar Chupa Ho Balke Istinja Ke Fauran Baad Hi Chupa Lena Chahiye
📚Bahare Shariat Hissa 2 Safa 28
📚Fatawa Afreeqa Safa 90
*Nawaqiz e Wuzu, Wuzu Todne Wali Baate’n