Hazrat Mansoor Bin Hallaaj Ka Asl Waqeya
(Aur Galat Fehmiyo’n Ki Islah)
Suwal: Mukarram o MuAzzam Baad Aadabe Niyaaz Ke Guzarish Hai Ke Agar Bara-e-Maherbani Un Waqeyat Ke Jin Ki Bina Par Hazrat Mansoor Bin Hallaaj Ke Baare Me Fatwa Diya Gaya Tha, Muttala Farmaye’n To Bahut Mamnoon Hoon. Agar Fatwa Me Kisi Aayat Sharif Ka Hawala Diya Gaya Ho To Us Ko Bhi Likh Dijiyega. Is Takleef Dahi Ko MuAaf Farmaiyega. Ek MuAamle Me Is Ki Bahut Zarurat Hai …
☞ Abu Jahal Huzur ﷺ Ka Chacha Hai Ya Nahi?
Imam e AhleSunnat Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Qadri Jawaban Irshad Farmate Hain:
Jawab: Hazrat Husain Bin Mansoor Hallaaj ( ) Jin Ko Awam Mansoor Kehte Hain, Mansoor In Ke Walid Ka Naam Tha. In Ka Isme Girami Husain (Tha), Akabir Ahle Haal Se The.
In Ki Ek Bahen In Se BaDarjaha Martaba-e-Wilayat o Marifat Me Zaaid Thi’n. Wo Aakhir Shab Ko Jungle Tashrif Le Jati’n Aur Yade Ilahi Me Masroof Hoti’n. Ek Din In Ki Aankh Khuli, Bahen Ko Na Paya, Ghar Me Har Jagah Talash Kiya, Pata Na Chala, In Ko Waswasa Guzra. Doosri Shab Me Qasdan Sote Me Jaan Daal Kar Jagte Rahe.
Woh Apne Waqt Par Uth Kar Chalee’n, Ye Aahista Aahista Pichhe Ho Liye, Dekhte Rahe, Aasman Se Sone Ki Zanjire’n, Yaqoot Ka Jaam Utra Aur In Ke Dahane Mubarak Ke Barabar Aa Laga. Unho’n Ne Peena Shuru Kiya. In Se Sabr Na Ho Saka Ke Ye Jannat Ki Nemat Na Mile, Be-ikhtiyar Keh Uthe Ke Bahen Tumhe’n Allah TaAala Ki Qasam Ke Thoda Mere Liye Chhodo. Unho Ne Ek Jur’a (Ghoont) Chhod Diya. Inho’n Ne Piya,
Is Ke Peete Hi Har Jadi Booti, Har Dar o Deewar Se In Ko Ye Aawaz Aane Lagi Ke Kaun Is Ka Ziyada Mustahiq Hai Ke Humari Raah Me Qatl Kiya Jaye. Inho Ne Kehna Shuru Kiya: انا لا حق (Ana La Haq/BeShak Main Sab Se Zyada Is Ka Sazawar Hu’n) Logo’n Ke Sunne Me Aaya: انا الحق (Anal Haq/Main Haq Hu’n)
Wo Dawa-e-Khudai Samjhe Aur Ye kufr Hai Aur Musalman Hokar Jo Kufr Kare, Murtad Hai Aur Murtad Ki Saza Qatl Hai. Huzoorﷺ Irshad Farmate Hain: Jo Apna Deen Badal De, Use Qatl Karo. Is Hadis Ko Ashabe Sitta Me Se Muslim Ke Alawa Sab Ne Aur Imam Ahmad Ne Ibne Abbas RadiAllahuTaAalaAnh Se Riwayat Kiya.
📚 Fataawa Razviya. Jild 26, Safa 400
☞ Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai?
☞ Mushkil Kusha. 16 Saiyyado’n Aur RootBoot Ke Roze Ka Hukm
☞ Gaus e Aazam Ke Dhobi Ka Qabr Wala Waqya Motbar Hai Ya Nahi?