Home / Fiqah / Meher Muaf Karana Kaisa Hai?

Meher Muaf Karana Kaisa Hai?

Meher Muaf Karana Kaisa Hai?

Suwal: Meher Bakhshwana Kaisa Hai Agar Aurat Na Bakhse To Mard Kya Kare?

☞ Maher Ki Sahi Miqdar Kya Hai Aur Kam Se Kam Kitna Maher Ho?

 

Jawab: Meher Aurat Ka Haq Hai Agar Usne BaKhushi Apna Haq Muaf Kar Diya To Muaf Ho Jayega
Aur Muaf Na Kare To Aurat Ko Ikhtiyar Hai Ke Wo Mutalba Kare Aur Mard Par Lazim Hai Ke Meher Ada Kare Agar Ada Na Kiya To Baad Wisal (Mard Ki Maut Ke Baad) Bhi Aurat Mard Ke Maal Se Apna Meher Le Sakti Hai Aur Agar Aurat Pehle Wisal Kar Jaye To Unke Wariso’n Ko Ye Haq Hasil Hai Ke Meher Le’n

⛥ AlBatta Jab Jab Tak Aurat Muaf Na Kare Har Haal Me Meher Ada Karna Padega
Bagair Ada Kiye Koi Khatm Nahi Kar Sakta

📚 Fatawa Khaliliya, Jild 2, Safa 96

☞ Talaq Wali Aurat Ki Iddat Ka Sahi Waqt Kya Hai?

📗 Fatawa FaizurRasool Me Hai Ke,
Aurat Ko Maar Kar Dhamki De Kar Muqf Karaye Aur Aurat Maar Ke Khauf Se Muaf Kar De To Muaf Na Hoga

Aur Agar MarzulMaut Me Muaf Karaya,
Jaisa Ke Awaam Me Raij Hai Ke Jab Aurat Marne Lagti Hai To Meher Muaf Karate Hain To Aysi Surat Me Wariso’n Ki Ijazat Ke Bagair Muaf Na Hoga
Aur Agar Dain Meher Ada Nahi Kiya Na Baad e Wisal Uske Maal Se Ada Kiya Gaya To Wo Haqqul’ibaad Me Giraftar Hoga

☞ Aurat Ke Inteqal Ke Baad Shauhar Dekh Sakta Hai Ya Nahi?

Aur Dain Meher Ada Na Karne Ke TaAlluq Se Hadis e Mubarka Me Hai Ke,
Jo Shakhs Nikah Kare Aur Niyat Ye Hai Ke Aurat Ko Meher Se Kuchh Na Dega To Jis Roz Marega Zaani (Zina Karne Wala) Marega

📚 Fatawa FaizurRasool, Jild 1, Safa 716

Lehaza SurateMasoola Me Meher Bakhshwana Jaiz Nahi AlBatta Aurat BaKhushi Muaf Karde To Muaf Ho Jayega Na Muaf Karne Ki Surat Me Har Haal Me Meher Ada Karna Hai Is Liye Ke Meher Aurat Ka Haq Haik

☞ Biwi Ke Sath Humbistari Se Pahle Bismillah Padhna Kaisa Hai?

☞ Bareek Dupatta Ya Tehband Me Namaz Ka Hukm

Leave a Reply