Home / Tehqiq / Masail e Mobile / Mobile Se Aayat e Sajda Sunne Par Sajda e Tilawat Wajib Hoga Ya Nahi?

Mobile Se Aayat e Sajda Sunne Par Sajda e Tilawat Wajib Hoga Ya Nahi?

Mobile Se Aayat e Sajda Sunne Par Sajda e Tilawat Wajib Hoga Ya Nahi?

QurAan e Kareem Me 14 Aysi Aayate’n Hain Jinke Padhne Aur Sunne Ke Baad Sajda e Tilawat Wajib Ho Jata Hai In Aayato’n Ki Tilawat Karne Wala Aur Sunne Wala Agar Sajda e Tilawat Na Kare To Tark e Wajib Ke Sabab Gunahgar Hoga,

Aur Padhne Me Shart Ye Bhi Hai Ke Itni Aawaz Se Aayat e Sajda Padhi Ho Ke Uzr Na Hone Ki Surat Me Khud Sun Sake Aur Aayat e Sajda Sunne Me Qasdan Sunna Koi Zaruri Nahi Agar BilaQasd Bhi Aayat e Sajda Suni Gayi To Aysi Surat Me Bhi Sajda e Tilawat Wajib Hoga,
Aur Sajda e Tilawat Sirf Sunne Ya Padhnne Se Wajib Hota Hai Aayat e Sajda Ko Likhne Ya Dekhne Se Nahi

Is Ke Mutalliq Huzur SadarushShariAh Farmate Hain Ke
Aayat e Sajda Padhne Ya Sunne Se Wajib Hota Hai Aayat e Sajda Ko Likhne Ya Uski Taraf Dekhne Se Wajib Nahi Hota

📚 Bahar e ShariAt, Jild 1, Hissa 4, Safa 731

☞ Wahabiyo”n Se Bachcho’n Ko Talim Dilana Kaisa Hai?

Urdu Farsi Ya Angrezi Ya Dusri Zubano’n Me Aayat e Sajda Ka Tarjma Padha To Bhi Padhne Aur Sunne Wale Par Sajda e Tilawat Wajib Ho Gaya

BaharHaal Ye Hukm Us Waqt Hai Jab Ke Mobile Ke Alawa Apni RozMarra Ki Zindagi Me Aayat e Sajda Padhi Ya Suni Jaye

Agar Mobile Se QurAan e Paak Suna Jaye Aur Sunne Ke Dauran Aayat e Sajda Aa Jaye To Aysi Surat Me Sajda e Tilawat Wajib Hoga Ya Nahi To Is MasAle Ka Tehqiqi Jawab Humare Fuqha e Kiram Ke Aqwal Ki Raushni Me Is Tarah Hai

📗 Fatawa Aalamgiri Me Hai Ke
و لا تجب اذا سمعھا من الطیر ھو المختار
Yani Mazhab e Mukhtar Ke Mutabiq Jab Parinde (Ki Zuban) Se Aayat e Sajda Suni Jaue To Sajda e Tilawat Wajib Nahi Hoga

📚 Fatawa Aalamgiri, Jild 1, Safa 132

Aur Mobile Bhi Aala e Barqi Aur Masnui Parinda Hai Lehaza Agar Mobile Se Aayat e Sajda Suni Jaye To Us Se Bhi Sajda e Tilawat Wajib Nahi Hota
Aur Sajda e Tilawat Wajib Hone Ki Shart Ye Bhi Hai Ke Qari Yani QurAan e Paak Ki Tilawat Karne Wala Tilawat Ka Ahel Aur Mukallaf Ho Aur Mobile Na To QurAan Ki Tilawat Ka Ahel Hai Aur Na Hi Ahkam e Shara Ka Mukallaf

Allama Ibn e Najeem Hanafi Misri Farmate Hain Ke
ولو سمع آیة السجدۃ من حیوان صرحوا بعدم وجوبھا علی المختار
Agar Aayat e Sajda Kisi (Haiwan) Ki Zuban Se Suni To Fuqha e Kiram Farmate Hain Mazhab e Mukhtar Ke Mutabiq Sajda e Tilawat Wajib Na Hoga Kyun Ki Qari (Haiwan) Tilawat Ka Ahel Aur Mukallaf Nahi Hai

📚 Al-IshbahWanNazair, Jild 1, Safa 54

Aur Huzur TajushShariAh Farmate Hain Ke
Yu’n Hi Parinde Ki Aawaz Suni Ya Jungle Aur Pahaad Wagairah Se Aawaz Goonji Aur BiJinsihi (HuBaHu) Aayat Ki Aawaz Kaan Me Aayi To Sajda e Tilawat Wajib Nahi

📚 Bahar e ShariAt, Hissa 4

☞ Qisto’n Par Mobile Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?

Khulasa:
Lehaza Mobile Ke Zariye Aayat e Sajda Sunne Se Sajda e Tilawat Wajib Na Hoga Kyun Ki Jis Tarah Parinda Sharai Ahkam Ka Mukallaf Nahi Hai Usi Tarah Mobile Bhi Sharai Ahkam Ka Mukallaf Nahi Aur Sajde Ke Wajib Hine Ke Liye Qari (Padhne Wale) Ka Mukallaf Hona Zaruri Hai

📚 Mobile Phone Ke Zaruri Masail

☞ Naqd Aur Udhar Mobile Ki Alag Alag Qimat Rakhna Kaisa Hai?

☞ Aadhi Aastin Ke Kapde Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

Leave a Reply