Assalamu Alaikum Wa Rehmatullah. Hum Aapko Muharram Se Judi Kuchh Galat Rasmo Aur Unke Sharayi Hukm Ke Baare Me Batayene….
RashtriyaGaan JanGanMan Par Ulma e Ahle Sunnat Ka Muttafiqa Faisla (With Audio & ScanPage) Padhne Ke Liye Yaha’n Click Kare’n
Galat Mas’ala
Bahut Se Log Muharram Ke Mahine Me Shadi Beyah Ko NaJayaz Samajhte Hain
Khas Kar 1 Se Lekar 10 Muharram Tak Naye Kapde Nahi Pahente
Gosht Machli Nahi Khate
Aur Ashra e Muharram (1 Se 10 Tarikh) Me Din Bhar Roti Nahi Pakate
Aur Ghar Me Jhadu Nahi Dete
Kehte Hain Ke Taziya Dafn Karne Ke Baad Roti Pakayi Jayegi
Kya Dahine Pair Ka Angutha Sarakne Se Namaz Nahi Hoti?
Sahi Mas’ala
Ye Saari Baate’n Jahilana Hain, Aur Shariat e Islamiya Me Iski Koi Asl Nahi.
Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Muharram Ke Mahine Me Shadi Beyah Karna
Naya Kapda Pahenna
Gosht Wagairah Khana Jaiz Hai
Isi Tarah Ke Suwalat Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza AlaihirRehmah Se Kiye Gaye
【1】 Kuch AhleSunnat Wa Jama’at Ashra e Muharram Me Na Din Bhar Roti Pakate Hain. Na Jhadu Dete Hain.
Kehte Hain Taziya Dafn Hone Ke Baad Roti Pakayi Jayegi,
【2】 In 10 Din Kapde Nahi Utarte.
【3】 Muharram Ke Mahine Me Koi Shadi Nahi Karte.
【4】 In Dino Me Siwae Imaam e Hussain RadiAllahuTaAalaAnh Ke Kisi Ki Neyaz o Fateha Nahi Dilate.
Ye Sab Jaiz Hai Ya Na Jaiz?
Jawab
To Aapne Irshad Farmaya
Pehli Teeno (3) Baate’n Sog Ki Hain Aur Sog Haraam Hai.
Aur Chauthi (4th) Baat Jehalat Hai
Har Mahine Har Tarikh Me Har Wali Ki Neyaz Har Musalman Ki Fateha Ho Sakti Hai,
📖 Ahkam e Shariat Hissa 1 Safa 127
Gaus e Aazam Ke Dhobi Ka Qabr Wala Waqya Motbar Hai Ya Nahi?
One comment
Pingback: Islami Naye Saal (Islamic New Year) Ki Mubarakbad Dena Kaisa Hai? • IslamiShariat.com