Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Mushkil Kusha. 16 Saiyyado’n Aur RootBoot Ke Roze Ka Hukm

Mushkil Kusha. 16 Saiyyado’n Aur RootBoot Ke Roze Ka Hukm

Maula Ali Mushkil, 16 Saiyyado’n Aur RootBoot Ke Roze Rakhna Kaisa Hai?

➡️Asr Ka Roza Rakhna Kaisa Hai?

Kuch Jagaho’n Par Rajab Ki 17 Tarikh Ko Roza Rakhte Hain Aur Use RootBoot Ka Roza Kehte Hain Khas Taur Se Is Din Roza Rakhne Ka Shariat e Islamia Me Koi Hukm Nahi,

Nafil Roza Saal Me Mamnu Dino Ko Chhod Kar Kabhi Bhi Rakha Ja Sakta Hai
17 Rajab Ko Roza Ke Liye Makhsus Kar Ke Use RootBoot Ka Roza Kehna Makhsus Wazan Ki Chhoti Badi 2 Rotiya’n Aur Botiya’n Pakaana
Chhoti Roti Fateha Padhne Wale Aur Badi Roti Roza Rakhne Wale Ko Khilana. BeAsl Aur Gadhhi Hui Baate’n Hain…..

➡️ Maiyyat Ki Dawat Khana Kaisa Hai?

 

Hazrat e Ali Mushkil Kusha Aur 16 Sayyado’n Ka Roza

Isi Tarah Baaz Jagah Aurte’n Hazrat e Ali Mushkil Kusha Ka Roza Rakhti Hain…

To Roza Ho Ya Koi Aur Ibadat Sab Allah Ke Liye Hi Hota Hai
Haa’n Agar Ye Niyat Kar Li Jaye Ki Iska Sawab Hazrat e Ali Ki Rooh e Paak Ko Pahunche To Ye Achchi Baat Hai

Lekin Is Roze Me Iftar Aadhi Raat Me Karti Hain Aur Ghar Ka Darwaza Khol Kar Dua Mangti Hain Ye Sab Khurafat Wahiyat Aur Wahem Parasti Ki Baate’n Hain….

📖 Fatawa Razviya, Jild 4, Safa 660

➡️ Ramzan Ki Mukammal Maloomat (Fazail o Masail)

 

Yunhi 16 Rajab Ko 16 Sayyado’n Ka Roza Rakha Jata Hai Usme Jo Kahani Padhi Jati Hai Wo Gadhhi Hui (Manghadat/Jhuthi) Hai

📖 Galat Fehmiya’n Aur Unki Islah, Safa 72/73

➡️ Ramzan Ki Fazilat Qur’Aan o Hadis Ki Raushani Me

Leave a Reply