Home / Fiqah / Kya Sahi Kya Galat? / Nakhuno’n Par Nailpolish Laga Kar Nahaye To Paak Hoga Ya Nahi?

Nakhuno’n Par Nailpolish Laga Kar Nahaye To Paak Hoga Ya Nahi?

Nailpolish Laga Kar Nahane Se Paak Honge Ya Nahi?

Galat Mas’ala

Aaj Kal Aksar Aurte’n Nakhuno’n Par NailPolish Laga Leti Hain Ye Riwaj Bahut Aam Ho Chuka Hai
Aur Isi Tarah Naha Leti Hain Aur Samajhti Hain Ke Hum Janabat (Napaki) Se Paak Ho Gayi’n
Halanke Ye Unki Galat Fehmi Aur Bhul Hai

Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?

Asr Ka Roza Kya Hai?

Sahi Mas’ala

Sahi Mas’ala Ye Hai Ke
Agar Nakhuno’n Par NailPolish Lagi Ho To Aysi Surat Me Gusl Karne Ke Baad Bhi Paaki Hasil Nahi Hogi
Kyunki Nakhun Par NailPolish Ki Teh Jam Jati Hai
Aur Gusl Karte Waqt Nakhun Par Paani Nahi Padta
Shariat Ke Mutabiq *Gusl e Janabat Me Agar Ek Baal Ke Barabar Bhi Jism Ka Koi Hissa Khushk (Sukha) Reh Jaye To Gusl Nahi Hota.
Aur Isme Ulma e Kiram Ka Muttafiqa (Ek Raye) Faisla Hai Ke
Gusl Ke Faraiz Me Se Ek Ye Bhi Hai Ke Tamam Zahiri Badan Yani Sar Ke Baalo’n Se Pao’n Ke Talwe Jism Ke Har Purze Har Rongte Par Paani Beh Jaye.
Lehaza Aurto’n Ko NailPolish Lagane Se Sachche Dil Se Tauba Karna Chahiye,

📚 Bahare Shariat Hissa 2, Wa Digar Kutube Fiqah

*Janabat: Napaki. Nijasat. Khas Kar Wo Napaki Jo Mard Aur Aurat Ke Milne Se Ya Sote Hue Mani Nikal Jane Se Ho…

Mic. Telephone. Khat. Aur Internet Ke Zariye Mureed Hona?

Muharram Ke Mahine Me Shadi Karna Kaisa Hai?

Leave a Reply