Home / Fiqah / Namaz / Namaz e Eid Ka Mukammal Tariqa Aur Zaruri Masail

Namaz e Eid Ka Mukammal Tariqa Aur Zaruri Masail

Namaz e Eid Kis Par Wajib Hai?

Eidain (Eid-e-Fitr Aur Eid-ul-Adha) Ki Namaz Wajib Hai Magar Sab Par Nahi Sirf Un Par Jin Par Juma Wajib Hai
Eidain Me Na Azaan Hai Na Iqamat
📚Durre Mukhtar Jild 3 Safa 51,
📚 Bahare Shariat Jild 1 Safa 779,

• Ramzanul Mubarak Ki Mukammal Maloomat Fazail o Masail

 

Namaz e Eid Ka Waqt

In Dono Namazo’n Ka Waqt Suraj Baqadar Ek Nezah Baland Hone (Yani Tulu e Aaftab Ke 20 Minutes Baad) Se Zahwe Kubra Yani Nisfunnihar Sharai Tak Hai
Magar Eid-e-Fitr Me Der Karna Aur Eid-ul-Adha Jald Padhna Mustahab Hai
📚Durre Mukhtar Jild 1 Safa 781,
📚 Bahare Shariat Jild 1 Safa 781,

• Kya Gusl Ke Waqt Kalma Na Padhne Se Paak Nahi Hote?

 

Namaz e Eid Ka Tariqa (Hanafi)

Pehle Is Tarah Niyat Kijiye
Mai Niyat Karta Hu’n Eid-ul-fitr (Ya Eid-ul-Adha) Ki Sath 6 Zayad Takbiro’n Ke Waste Allah Ta’Aala Ke Piche Is Imam Ke,

Phir Kaano Tak Hath Uthaiye Aur Allahu’Akbar Kehte Hue Naaf Ke Niche Hath Bandh Lijiye Aur Sana Padhiye.
Phir Kaano Tak Hath Uthaiye Aur Allahu’Akbar Kehte Hue Latka Dijiye.
Phir Hath Kaano Tak Uthaiye Aur Allahu’Akbar Keh Kar Latka Dijiye.
Phir Kaano Tak Hath Uthaiye Aur Allahu’Akbar Keh Kar Hath Bandh Lijiye.

Yani Pehli Takbir Ke Baad Hath Bandhiye.
Uske Baad Dusri Aur Teesri Takbeer Me Latka Dijiye.
Aur Chauthi Me Bandh Lijiye.

Isko Yu’n Yaad Rakhiye
Jaha’n Qiyam Me Takbiro’n Ke Baad Kuch Padhna Hai Waha’n Hath Banhne Hain Aur Jaha’n Nahi Padhna Waha’n Latkane Hain

Phir Imam Ta’awwuz Aur Tasmia (Auzubillah Aur Bismillah) Aahista Padh Kar Al’Hamdu Sharif Aur Koi Surat Baland Aawaz Ke Sath Padhe Phir Ruku Kare

Dusri Rakat Me Pehle Al’Hamdu Sharif Aur Surat Baland Aawaz Se Padhe
Phir 3 Baar Kaan Tak Hath Utha Kar Allahu’Akbar Kahiye Aur Hath Na Bandhiye
Aur Chauthi Baar Bagair Hath Uthaye Allahu’Akbar Kehte Hue Ruku Me Jaiye
Aur Qaide Ke Mutabiq Namaz Mukammal Kar Lijiye.
Har 2 Takbiro’n Ke Darmiyan 3 Baar SubHanAllah Kehne Ki Miqdar Chup Khada Rehna Hai
📚Durre Mukhtar Jild 3 Safa 61,
📚Bahare Shariat Jild 1 Safa 781,

• Kya Namaz e Juma Ki Qaza Hai?

• Maiyyat Ke Khane Ka Hukm?

 

Eid Ki Jamat Na Mili To Kya Kare?

Imam Ne Namaz Padh Li Aur Koi Shakhs Baqi Reh Gaya
Chahe Wo Jamat Me Shamil Hi Nahi Hua
Ya Shamil To Hua Magar Uski Namaz Fasid (Kharab) Ho Gayi To Agar Dusri Jagah Mil Jaye Padh Le Warna (BaGair Jamat Ke) Nahi Padh Sakta
Haa’n Behtar Ye Hai Ke Ye Shakhs 4 Rakat Chasht Ki Namaz Padhe
📚Durre Mukhtar Jild 3 Safa 67,

• Kya Dahine Pair Ka Angutha Hatne Se Namaz Nahi Hogi?

 

Eid Ki Adhuri Jamat Mili To?

Pehli Rakat Me Imam Ke Takbire’n Kehne Ke Baad Muqtadi Shamil Hua To Usi Waqt (Takbir e Tehrima Ke Alawa) 3 Takbire’n Keh Le Chahe Imam Ne Qirat Shuru Kardi Ho
Aur 3 Hi Kahe Chahe Imam Ne 3 Se Zyada Kahi Ho’n.

Aur Agar Isne Takbire’n Nahi Kahi Ke Imam Ruku Me Cahala Gaya To Khade Khade Na Kahe Balke Imam Ke Sath Ruku Me Jaye Aur Ruku Me Takbire’n Keh Le.

Aur Agar Imam Ko Ruku Me Paya Aur Galib Guman (Pakka Yaqin) Hai Ke Takbire’n Keh Kar Imam Ko Ruku Me Pa Lega To Khade Khade Takbire’n Kahe Phir Ruku Me Jaye
Warna Allahu’Akbar Keh Kar Ruku Me Jaye Aur Ruku Me Takbire’n Kahe.

Phir Agar Isne Ruku Me Takbire’n Puri Na Ki Thi Ke Imam Ne Sar Utha Liya To Baqi Saqit Ho Gayi’n (Yani Baqi Takbire’n Ab Na Kahe)
Aur Agar Imam Ke Ruku Se Uthne Ke Baad Shamil Hua To Ab Takbire’n Na Kahe Balke (Imam Ke Salam Pherne Ke Baad) Jab Apni (Baqi Namaz) Padhe Us Waqt Kahe.

Aur Ruku Me Jaha’n Takbeer Kehna Bataya Gaya Usme Hath Na Uthaye.

Aur Agar Dusri Rakat Me Shamil Hua To Pehli Rakat Ki Takbire’n Ab Na Kahe.
Balke Jab Apni Faut Shuda (Chhuti Hui Rakat) Padhne Khada Ho Us Waqt Kahe.

Dusri Rakat Ki Takbire’n Agar Imam Ke Sath Pa Jaye To Behtar Warna Isme Bhi Tafseel Hai Jo Pehli Rakat Ke Bare Me Zikr Hui
📚Durre Mukhtar Jild 3 Safa 64,
📚 Aalamgiri Jild 1 Safa 151,
📚Bahare Shariat Jild 1 Safa 782,

• Khutba Ke Waqt Sunnate’n Padhna Kaisa Hai?

 

Eid Ka Khutba Sunnat Hai

Eidain Ki Ada Ki Wahi Sharte Hain Jo Juma Ki Hain
Sirf Itna Farq Hai Ke Juma Me Khutba Shart Hai Aur Eidain Me Sunnat
Juma Ka Khutba Namaz Se Pehle Hai
Aur Eidain Ka Namaz Ke Baad
📚 Aalamgiri Jild 1 Safa 150,
📚Bahare Shariat Jild 1 Safa 781,

• Tehqiq e Raza Tarikh e Wiladat o Wisal e Mustafa ﷺ

 

Eid Ke Khutbe Ke Ahkam

Namaz Ke Baad Imam 2 Khutbe Padhe
Aur Jume Ke Khutbe Me Jo Chize’n Sunnat Hain Is Me Bhi Sunnat Hain Aur Jo Waha’n Makruh Yaha’n Bhi Makruh Hai
Sirf 2 Bato’n Me Farq Hai

Ek Ye Ke Juma Ke Pehle Khutbe Se Peshtar (Pehle) Baithna Sunnat Tha Aur Isme Na Baithna Sunnat Hai

Dusre Ye Ke Is Me Pehle Khutbe Peshtar (Pehle) 9 Baar Aur Dusre Ke Pehle 7 Baar Aur Mimbar Se Utarne Ke Pehle 14 Baar Allahu’Akbar Kehna Sunnat Hai Aur Juma Me Nahi
📚Durre Mukhtar Jild 3 Safa 68,
📚 Aalamgiri Jild 1 Safa 150,
📚Bahare Shariat Jild 1 Safa 783,

• Dadhi Mundane Wala Shakhs Azan Keh Sakta Hai Ya Nahi?

 

Eid Ke Din Ye Kaam Mustahab Hain

✴️Hajamat Banwana ✴️Nakhun Tarashna ✴️Gusl Karna ✴️Miswak Karna (Ye Uske Alawa Hai Jo Wuzu Me Ki Jati Hai) ✴️Achche Kapde Pahenna, Naye Ho To Naye Warna Dhule Hue ✴️Khushbu Lagana ✴️Anguthi Pahenna (Jab Kabhi Anguthi Pehne To Is Baat Ka Khas Khayal Rakhe’n Ke Sirf Sadhe Char Masha Se Kam Wazan Chandi Ki Ek Hi Anguthi Pehne’n, Ek Se Zyada Na Pehne’n Aur Us Ek Anguthi Me Bhi Nagina Ek Hi Ho, Ek Se Zyada Nagine na Ho, Bagair Nagine Ki Bhi Na Pehne’n, Nagine Ke Wazan Ki Koi Qaid Nahi, Chandi Ka Chhalla Ya Chandi Ke Bayan Karda Wazan Wagairah Ke Alawa Kisi Bhi Dhat Ki Anguthi Ya Chhalla Mard Nahi Pahen Sakte) ✴️Namaz e Fajr Muhalle Ki Masjid Me Padhna ✴️Eidul’Fitr Ki Namaz Ko Jane Se Pehle Chand Khajure’n Kha Lena 3, 5,7 Ya Kamo Besh Magar Taq Ho, Khajure’n Na Ho To Koi Mithi Chiz Khaye’n, Agar Namaz Se Pehle Na Kuch Bhi Na Khaya To Gunah Na Hua Magar Isha Tak Na Khaya To Itab (Malaamat) Kiya Jayega ✴️Namaz e Eid, Eidgah Me Ada Karna ✴️Eidgah Paidal Jana ✴️Sawari Par Bhi Jane Me Koi Harj Nahi Magar Jisko Paidal Jane Par Qudrat Ho Uske Liye Paidal Jana Afzal Hai Aur Wapsi Par Sawari Se Aane Me Harj Nahi ✴️Namaz e Eid Ke Liye Ek Raste Se Jana Aur Dusre Raste Se Wapas Aana ✴️Eid Ki Namaz Se Pehle Sadqa e Fitr Ada Karna (Afzal To Yahi Hai Magar Eid Ki Namaz Se Pehle Na De Sake To Baad Me DeDe’n ✴️Khushi Zahir Karna ✴️Kasrat Se Sadqa Dena ✴️Eidgah Ko Itminan o Waqar Aur Nichi Nigah Kiye Jana ✴️Aapas Me MubarakBaad Dena ✴️Namaz Ke Baad Musafa Aur Muanqa (Gale Milna) Jisa Ke Amuman Musalmano’n Me Raij Hai Behtar Hai Ke Isme Izhare Masarrat Hai, Magar Amrad Khubsurat Se Gale Milna Mahalle Fitna Hai ✴️Eidul’Fite Ki Namaz Ke Liye Jate Hue Raste Me Aahista Takbir Kahe’n Aur Namaz e Eidul’Adha Ke Liye Jate Hue Raste Me Baland Aawaz Se Takbir Kahe’n

Takbir Ye Hai: AlahuAkbar, AllahuAkbar, La’ilaha illallahu Wallahu Akbar, Walillahil Hamd
Tarjma: Allah Sab Se Bada Hai, Allah Sab Se Bada Hai, Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi Aur Allah Sab Se Bada Hai, Allah Sab Se Bada Hai Aur Allah Hi Ke Liye Tamam Khubiya’n Hain
📖 Bahar e Shariat, Jild 1, Safa 779 Se 781
📖 AalamGiri, Jild 1, Safa 149, 150

• Talaq Wali Aurat Ki Iddat Ka Sahi Waqt Kya Hai?

 

BaqarEid Ka Ek Mustahab

Eidul’Adha Tamam Ahkma Me Eidul’Fitr Ki Tarah Hai
Sirf Baaz Baato’n Me Farq Hai
Maslan Eidul’Adha Me Mustahab Ye Hai Ke Namaz Se Pehle Kuch Na Kahye Chahe Qurbani Kare Ya Na Kare Aur Agar Kha Liya To Karahat Bhi Nahi
📖 AalamGiri, Jild 1, Safa 152

• Quiz: Auj Bin Anaq, Ki HairatAngez Maloomat

Takbire Tashriq

✴9vi Zil’Hijjah Ki Fajr Se 13vi Ki Asr Tak 5 Waqt Ki Farz Namaze’n Jo Masjid Me Jamat Mustahibba Ke Sath Ada Ki Gayi Un Me Ek Baar Baland Aawaz Se Takbir Kehna Wajib Hai Aur 3 Baar Afzal Ise Takbire Tashriq Kehte Hain

Takbire Tashriq Ye Hai: AlahuAkbar, AllahuAkbar, La’ilaha illallahu Wallahu Akbar, Walillahil Hamd

📖 Bahar e Shariat, Jild 1, Safa 779 Se 785
📖 Tanvirul Absaar, Jild 3, Safa 71

✴️Takbire Tashriq Salam Pherne Ke Fauran Baad Kehna Wajib Hai, Yani Jab Tak Koi Aysa Kaam Na Kiya Ho Ke Us Par Namaz Ki Bina Na Kar Sake Maslan Agar Masjid Se Bahar Ho Gaya Ya Qasdan Wuzu Tod Diya Ya Chae Bhul Kar Hi Kalaam Kiya To Takbir Saqit Ho Gayi Aur BilQasd Wuzu Tut Gaya To Kehle
📖 Durre Mukhtar Wa Raddul Muhtar, Jild 3, Safa 73

✴️Takbire Tashriq Us Par Wajib Hai Shahar Me Muqim Hi Ya Jisne Is Muqim Ki Iqteda Ki, Wo Iqteda Karne Wala Chahe Musafir Ho Ya Gao’n Ka Rehne Wala Aur Agar Iski Iqteda Na Kare’n To Un Par (Yani Musafir Aur Gao’n Ke Rehne Wale Par) Wajib Nahi
📖 Durre Mukhtar, Jild 3, Safa 74

✴️Muqim Ne Agar Musafir Ki Iqteda Ki To Muqim Par Wajib Haj Agarche In Musafir Imam Par Wajib Nahi
📖 Durre Mukhtar Wa Raddul Muhtar, Jild 3, Safa 74

✴️Nafil, Sunnat, Aur Witr Ke Baad Takbir Wajib Nahi
✴️Juma Ke Baad Wajib Hai Aur Namaz e Eid (Eidul’Adha) Ke Baad Bhi Keh Le
📖 Bahar e Shariat, Jild 1, Safa 785
📖 Raddul Muhtar, Jild 3, Safa 73

✴️Masbuq (Jiski 1 Ya Zayad Rakate’n Chhuti Ho) Par Takbir Wajib Haj Magar Jab Khud Salam Phere Us Waqt Kahe
📖 Raddul Muhtar, Jild 3, Safa 76

✴Munfarid (Tanha Namaz Padhne Wale) Par Wajib Nahi (📖 AlJauharatunNayyirah, Safa 122) Magar Keh Le Ke Sahibain (Imam AbuYusuf Aur Imam Muhammad Ke Nazdik Is Par Bhi Wajib Hai
📖 Bahare Shariat, Jild 1, Safa 786

• Namaz Me Seene Ke Batan Khule Rakhna Kaisa Hai?

• Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai?

• Nakhuno’n Par Nailpolish Laga Kar Nahane Se Paak Honge Ya Nahi?

Leave a Reply