Mobile Ki Qimat Naqd Aur Udhar Me Alag Alag Rakhne Ka Sharai Hukm!
Naqd (Cashe) Mobile Ki Qimat (Rate) Misal Ke Taur Par 1000/rs. Aur Udhar (Borrowing) Me Usi Mobile Ki Qimat 1100/rs. Rakhna Jaiz Hai Aur Is Tarah Mobile Ki Kharid o Farokht (Kharidna Aur Bechna) Sahi Hai, Ye Sood Nahi.
Lekin, Agar 1000/rs. Me Mobile Becha Aur Qimat (Paise) Milne Me Ek Hafta Der Ho Gayi To Grahak Se 100/rs. Zyada Lena, Ye Sood Hai
Khulasa Ye Ke Mobile Naqd Aur Udhar Alag Alag Qimato’n Me Bechna Jaiz Hai
➡️Sunnat e Gair-Mo’Akkeda Ko Padhne Ka Sahi Tariqa Kya Hai?
Fatawa Razviya Sharif Me Hai:
Udhar Bechne Me Naqd Bechne Se Daam Zyada Lena Koi Muzaiqa (Burayi/Harj) Nahi Rakhta
➡️Namaz Me Seene Ke Batan Khula Rakhna Kaisa Hai,
Mufti Muhammad Jalaluddin Amjadi Likhte Hain:
Koi Bhi Samaan Is Tarah Bechna Ke Agar Naqd Qimat Fauran Ada Kare To 300 Qimat Le Aur Agar Udhar Samaan Koi Le To Us Se 350/rs. Samaan Ki Qimat Le, Ye Shariat Me Jaiz Hai, Sood Nahi.
Naqd Aur Udhar Ka Alag Alag Bhao (Qimat) Rakhna Shariat Me Jaiz Hai.
Magar Ye Zaruri Hai Ke Samaan Bechte Waqt Hi Tae (Faisla) Kar De Ke Is Samaan Ki Qimat Naqd Kharido To Itni Hai Aur Udhar Kharido To Itni Hai.
Ye Jaiz Nahi Hai Ke 300/rs. Me Bech Diya, Ab Agar Qimat Milne Me Ek Hafta Ki Der Ho Gayi To Us Se 25 Ya 50 Zyada Le, Aysa Karega To Sood Hoga
📖 Fatawa FaizurRasool, Jild 2, Safa 380
➡️ Quiz: Anguthi, Chhalle, Taweez Aur Dore Wagairah Ke Masail
One comment
Pingback: Gair Muslim Ki Zamin Girwi Lena Aur Us Se Nafa Hasil Karna Kaisa Hai ? • IslamiShariat.com