Home / Fiqah / Mutafarriq' Masail / Newta Ka Sharai Hukm Kya Hai ?

Newta Ka Sharai Hukm Kya Hai ?

☞ Jeb Me Zewar (Jewellery) Rakh Kar Namaz Padhna Kaisa Hai ?

Shadi Wagairah Ke Newta Ka Sharai Hukm Kya Hai ?

Newta (Neota) Ki 2 Surate’n Hain 1 Surat Me Qarz Hai Aur 1 Surat Me Tohfa (Gift) Hai.

 

Jin Logo Me Biradari Nizam Hai Un Me “Newta” Qarz Hi Shumar Kiya Jata Hai Wo Likh Kar Rakhte Hain Kis Ne Kitna Diya Hai Uske Yaha’n Shadi Hone Ki Surat Me Utna Hi Wapas Karte Hain Un Biradriyo’n Me Newta Qarz Hi Samjha Jata Hai.

 

Aur Jin Biradriyo’n Me Aysa Koi Biradari Qanoon Nahi Hai Ya Gair-Biradari Ke Log Dosti, TaAlluqat Aur Aqidat Ki Wajah Se Shadi Me Kuchh Dete Hain Wo Hadiya (Tohfa/Gift) Hai.

 

Hadis Sharif Me Hai, “Ek Dusre Ko Tohfa Do Muhabbat Badhegi”

📗 Waqarul’Fatawa, Jild 3, Safa 116

☞ Court (Adalat) Ki Talaq Ya Khula Ka Sharai Hukm !

Sarkar Aala Hazrat Irshad Farmate Hain Ke ” Jo Newta Diya Jata Hai Wo Qarz Hai Uska Ada Karna Lazim Hai Agar Reh Gaya To Mutalba Rahega Aur Be Uske Muaf Kiye Muaf Na Hoga ”

Dene Walo Se Saaf Keh De Ke Jo Sahab BaTaur Imdad Inayat Farmaye’n Muzaiqa Nahi Mujh Se Mumkin Hua To Unki Taqrib Me Imdad Karunga Lekin Me Qarz Lena Nahi Chahta, Iske Baad Jo Shakhs Dega Wo Uske Zimme Qarz Na Hoga, Hidaya Me Hai Jis Ka Badla Ho Gaya Fiha, Na Hua To Mutalba Nahi

📗 Fatawa Razviya, Jild 23, Safa 587

☞ Talaq Wali Aurat Ki Iddat Ka Sahi Waqt Kya Hai?

Lehaza Mazkura Bala Dalail Se Wazeh Hua Ke Jaha’n Par Qarz Shumar Hota Hai Waha’n Par Kami Nahi Kar Sakte Ke Kami Karne Par Wo Baqiya Qarz Uske Zimme Baqi Rahega Jis Par Girift Hai Aur Agar Apni Khushi Se Zyada De To Jaiz Bhi Hai Aur Sunnat e Nabawi Bhi.

 

Aur Ye Bhi Wazeh Hua Ke Jis Biradari Me Ya Jaha’n Par Qarz Shumar Nahi Hota Hai Waha’n Par Ada Na Karne Ki Surat Me BaRoz e Mehshar Uska Muakhza Bhi Nahi Hoga

 

✏️ Mufti Muhammad Aayyub Khan Yar Alvi, Behraich Sharif

☞ Meher Muaf Karana Kaisa Hai?

☞ Shauhar Kitni Muddat Tak Apni Biwi Se Door Reh Sakta Hai?

☞ Maher Ki Sahi Miqdar Kya Hai Aur Kam Se Kam Kitna Maher Ho?

Leave a Reply