Paani Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?
Suwal: Filter Paani Market Me Sale (Karobar) Karna Kaisa Hai?
☞ Kya Aqiqe Ka Gosht Dada Dadi Nahi Kha Sakte?
Jawab: Hawa Aur Pani Har Jandar Ki Bunyadi Zarurat Hai
Allah ﷻ Ka Irshad Hai
وجعلنا من الماء کل شیٔ حی
Tarjma: Aur Humne Pani Se Har Zinda Chiz Paida Ki
📗 Surah Ambiya
Insan Khane Ke Bagair Kuchh Dino’n Tak Zinda Reh Sakta Hai Magar Pani Ke Bagair Zinda Nahi Reh Sakta, Is Liye ShariAt e Mutahhara Ne Talab, Naher, Kue’n Wagairah Ka Pani Har Ek Liye Mubah (Jaiz) Rakkha Kisi Ko Is Se Rokne Ka Haq Nahi Aur Na Wo Kisi Ek Shakhs Ki Milkiyat Hai
AlBatta Jab Pani Ko Kisi Bartan, Mashkiza, Tenk Wagairah Me Mehfuz Kar Liya Jaye To Wo Us Ki Milkiyat Qarar Pata Hai, Us Ko Ikhtiyar Hai Chahe Muft Me De Ya Maal Ke Badle Beche ShariAt Ki Ru Se Is Ki Kharid o Farokht Ki Ja Sakti Hai,
Agar Pani Jama Kiya Hua Nahi Balke Kue’n Wagairah Me Hai To Kue’n Wagairah Par Aa Kar Pani Lene Walo’n Ko Rokna SharAn Jaiz Nahi
📗 Jaisa Ke Tirmizi Sharif Me Hadis e Paak Hai
عن ابی ہریرۃ ان النبی صلی اللہ علیہ وسلم قال لا یمنع فضل الماء
Tarjma: Sayyduna AbuHurairah Se Riwayat Hai Ke Huzur Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya,
Zayad Pani Ko Na Roka Jaye
☞ Mushkil Kusha. 16 Saiyyado’n Aur RootBoot Ke Roze Ka Hukm
⛥ Khatimul Muhaqqiqin Hazrat Allama Ibn e Abideen Shami Farmate Hain
ان صاحب البئرلایملک الماء۔ ۔ ۔ وہذامادام فی البئر أمااذا اخرجہ منہا بالاحتیال کمافی السوانی فلاشک فی ملکہ لہ لحیازتہ لہ فی الکیزان ثم صبہ فی البرک بعد حیازتہ
📚 Fatawa Shami, Jild 4, Kitabul Buyu’a, Safa 132
☞ Kya Huzur Gaus e Aazam Aur Sarkar Gareeb Nawaz Ki Mulaqat Hui Thi?