Home / Tehqiq / Masail e Mobile / Qisto’n Par Mobile Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?

Qisto’n Par Mobile Kharidna Aur Bechna Kaisa Hai?

Qisto’n Par Mobile Bechne Aur Kharidne Ka Hukm

Dusre Samano’n Ki Tarah Qisto’n Par Mobile Bechna Aur Kharidna Bhi Jaiz Hai

➡️Naqd Aur Udhar Mobile Ki Qimat Alag Alag Rakhna Kaisa Hai?

 

Iski Surat Ye Hai Ke Bechne Wala Mobile Ki Qimat Bata De,
Phir Tamam Qiste’n Aur Qisto’n Ki Adaygi (Dene) Ki Puri Meaad (Waqt) Maslan Mahana Ya Salana Wagairah Muqarrar Karde,
Aur Kharidari Ke Waqt Se Lekar Tamam Qisto’n Ki Adaygi Ki Puri Muddat (Waqt) Bhi Bata De,
Kharidar Tamam Qiste’n Unke Muqarrarah Waqto’n Par Muddat Ke Andar Ada Karde.

Is Tarah Mobile Ki Bae (Kharid o Farokht) Durust Ho Jayegi Aur Koi Niza’a (Jhagda/Fasaad) Bhi Na Hoga.

➡️Doodh Pite Bachche Ka Peshab Paak Hai Ya Napak?

 

Qiste’n Muqarrar Karna DarHaqiqat Qimat Ki Adaygi Ka Waqt Muqarrar Karna Hai, Aur Ye Durust Hai

KanzudDaqaiq Me Hai:

صَحَّ تَأجِیْلُ کُلِّ دَیْنٍ غَیْرَالْقَرْضِ٠
Tarjma: Qarz Ke Siwa Har Daen Ka Waqt Muqarrar Karna Durust Hai

📖 KanzudDaqaiq, Safa 225

 

➡️Ye Naam Na Rakhe’n !

➡️ Aurato’n Ka Janwar Zibah Karna Kaisa Hai?

Leave a Reply