Home / Quiz / Masail / Quiz: Anguthi, Chhalle, Taweez Aur Dore Wagairah

Quiz: Anguthi, Chhalle, Taweez Aur Dore Wagairah

Q 1. Mardo Ke Liye Chandi Ki Anguthi Kitne Waza Ki Durust Hai ?

An. Chandi Ki Ek Anguthi Ek Nag Ki Sade Char Masha Se Kam Wazan Ki, Agar Is Se Zyada Ho To NaJaiz Hai.
📖 Ahkam e Shariat 1 Safa 30

Q 2. Agar Tanbe, Kanse, Peetal, Ya Lohe Wagairah Ki Anguthi Ho To Usko Pahenna Kaisa Hai ?

An. Mutlaqan NaJaiz Hai.
📖 Ahkam e Shariat 1 Safa 30

Q 3. Lohe, Peetal, Aur Tanbe Wagairah Ki Anguthi Bechna Kaisa Hai ?

An. Aysi Anguthi Jiska Pahenna Mard o Aurat Dono Ke Liye NaJaiz Hai Uska Bechna Makrooh Hai.
📖 Bahare Shariat Hissa 16 Safa 102

Q 4. Kuch Log Tanbe, Peetal, Aur Lohe Wagairah Ke Chhalle Pahente Hain Iska Kya Hukm Hai ?

An. Iska Pahenna Bhi NaJaiz Hai.
📖 Fatawa Razviya Jild 10 Safa 15

Q 5. Agar Anguthi Ya Chhalle (Jinka Pahenna Jaiz Nahi) Makka, Madina Ya Ajmer Se Aye Ho To Kya Inka Pahenna Bhi NaJaiz Hai ?

An. Haa’n Agar Wo Khilaf e Shara Hai To Makka, Madina Ya Ajmer Ke Bazaro’n Me Bikane Se Halal Nahi Ho Jayenge.
📖 Galat Fehmiya Aur Unki Islah Safa 134

➡ Tanbe, Peetal Aur Lohe Wagairah Ke Zewar Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

Q 6. Mardo Ka Ek Se Zyada Anguthi Pahenna Kaisa Hai ?

An. NaJaiz Hai.
📖 Bahare Shariat Jild 3 Safa 428

Q 7. Bagair Nagine Ki Anguthi Pahenna Kaisa Hai ?

An. NaJaiz Hai Kyun Ke Ye Anguthi Nahi Challa Hai.
📖 Neki Ki Dawat Safa 410

Q 8. Kya Aurate’n Chhalle Pahen Sakti Hain ?

An. Haa’n Aurate’n Challe Pahen Sakti Hain.
📖 Bahare Shariat Jild 3 Safa 428

Q 9. ilaj Ke Taur Par NaJaiz Zewrat, Chhalle Wagairah Pahenna Kaisa Hai ?

An. Jaiz Nahi.
📖 Fatawa Razviya Jild 10 Safa 15

Q 10. Locket, Taweez Ya Anguthi Pahen Kar BaitulKhala (Toilet) Me Jana Kaisa Hai ?

An. Aysi Anguthi Ya Locket Jis Par Ism e Allah Ya Ism e Muhammad ﷺ Likha Hua Ho Pahen Kar BaitulKhala (Toilet) Me Jana Nihayat Bura Aur Aysa Karne Wala Gunahgar Hoga.
📖 Fatawa Yurop Safa 528

➡ Nakhuno’n Par Nailpolish Laga Kar Nahane Se Paak Honge Ya Nahi?

Q 11. Agar Taweez Gilaf Me Ho To Pahen Kar BaitulKhala (Toilet) Me Jana Kaisa Hai ?

An. Makrooh Nahi Magar Is Se Bachna Afzal Hai.
📖 Durre Mukhtar Safa 24 / Fatawa Yurop Safa 529

Q 12. Sone (Gold) Ka Dant Lagwana Kaisa Hai ?

An. Maal Ka Zae (Barbad) Karna Aur Numaish Hai Jo Ke Daira Me Dakhil Ho Kar Mamnu o Haram Hai.
📖 Fatawa Yurop Safa 535

Q 13. NaBalig Ladke Ko Sone, Chandi Ke Zewar Pehnana Kaisa Hai ?

An. Haram Hai Aur Jisne Pehnaya Wo Gunahgar Hoga.
📖 Neki Ki Dawat Hissa 1 Safa 410

Q 14. Kuch Log Hatho Me Surkh Ya Pile Rang Wagairah Ke Dore Bandhte Hain Unka Kya Hukm Hai ?

An. Ye Sab Munasib Nahi Hai Hatho Me Dore Aur Kade Nahi Dalna Chahiye Ye Sab Mana Hai.
📖 Galat Fehmiya Aur Unki Islah Safa 174

Q 15. Bila Wajah Hath Me Dora (Dhaga) Bandhna Kaisa Hai ?

An. Makrooh Hai.
📖 Bahare Shariat Hissa 16 Safa 252

➡Aadhi Aastin Ke Kapde Pahen Kar Namaz Padhna Kaisa Hai?

➡BareeDupatta Ya Tehband Me Namaz Ka Hukm?

Leave a Reply