Qurbani Me Kitni Rage’n Katni Chahiye?
SadarusShariAh Badaruttariqah Hazrat Allama Amjadi Aazmi Rehmatullah’Alaih Farmate Hain,
Jo Rage’n Zabah Me Kaati Jaati Hain Wo Char (4) Hain.
Hulqum:
Ye Wo Hai Jisme Saans Aati Jati Hai.
Muri:
Is Se Khana Paani Utarta Hai.
In Dono Ke Agal Bagal Aur Do (2) Rage’n Hain Jinme Khoon Ki Rawani Hai Unko
WadaJain:
Kehte Hain,
Zabah Ki 4 Rago’n Me Se 3 Ka Kat Jana Kaafi Hai Yani Is Surat Me Bhi Jawar Halaal Ho Jayega Ke Aksar (Zyada) Ke Liye Wahi Hukm Hai Jo Kul (Sab) Ke Liye Hai
Aur Agar Charo (4) Me Se Har Ek Ka Aksar Hissa Kat Jayega Jab Bhi Halaal Ho Jayega
Aur Agar Aadhi Aadhi Har Rag Kat Gayi Aur Aadhi Baqi Hai To Halaal Nahi,
📚Bahar e Shariat. Jild 3 Safa 312/313
Qurbani Ka Tariqa
(Chahe Qurbani Ho Ya Waise Hi Zabah Karna Ho)
Sunnat Ye Chali Aa Rahi Hai Ke Zabah Karne Wala Aur Janwar Dono Qibla Rukh Ho’n
Humare Ilaqe (Yani Hind o Paak) Me Qibla Magrib (West) Me Hai
Is Liye Sar e Zabiha (Janwar Ka Sar) Junub (South) Ki Taraf Hona Chahiye Take Janwar Baae’n (Yani Ulte Pehlu) Leta Ho.
Aur Uski Peeth Mashriq (East)Ki Taraf Ho
Take Iska Muh Qibla Ki Taraf Ho Jaye
Aur Zabah Karne Wala Apna Daya’n (Seedha) Pair Janwar Ki Gardan Ke Daae’n (Seedhe) Hisse (Yani Gardan Ke Qarib Pehlu) Par Rakhe Aur Zabah Kare
Aur Khud Apna Ya Janwar Ka Muh Qible Ki Taraf Karna Tark Kiya (Chhor Diya) To Makrooh Hai,
📚Fatawa Razviya. Jild 2 Safa 216/217
Qurbani Ka Janwar Zabah Karne Se Pehle Ye Dua Padhi Jaye
اِنّیِ وَجَّھٌتُ وَجٌھِیَ لِلَّذِیٌ فَطَرَالسَّمٰوٰتِ وَالٌاَرٌضَ حَنِیٌفًاوَّمآ اَنَا مِنَ الٌمُشٌرِکِیٌنَ【1
اِنَّ صَلَاتِیٌ وَنُسُکِیٌ وَمَحٌیَایَ وَ مَمَاتِیٌ لِلّٰهِ رَبِّ الٌعَالَمِیٌنَ【2
لَاشَرِیٌكٙ لٙهٗ وٙبِذٰلِكٙ اُمِرٌتُ وَاَنَا مِنَ الٌمُسٌلِمِیٌنَ【3
(Innee Wajjahtu Wajhiya Lillazee FatarasSamawaati Wal Arda Haneefau’n Wa Maa Ana Minal Mushrikeen【1】
Inna Salaatee Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamaati Lillahi Rabbil Aalameen【2】
Laa Shareeka Lahoo WaBiZalika Umirtu Wa Ana Minal Muslimeen【3】
Aur Janwar Ki Gardan Ke Qarib Pehlu Par Apna Seedha Pair Rakh Kar
اَللّٰھُمٙـ لَكٙ وَ مِنٌكٙ بِسٌمِـ اللّٰهِ اَللّٰهُ اَکٌبَر 【4】
(Allahumma Laka Wa Minka Bismillahi Allahu’Akbar 【4】
Padh Kar Tez Chhuri Se Jald Zabah Kar Dijiye,
Qurbani Apni Taraf Se Ho To Zabah Ke Baad Ye Dua Padhiye
اَللّٰهُمَّـ تَقَبَّلٌ مِنّیِ کَمَا تَقَبَّلٌتَ مِنٌ خَلِیٌلِكٙ اِبٌرَاھِیٌمَـ عَلَیٌهِ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُـ وَحَبِیٌبِكٙ مُحمّدٍ ﷺ 【5】
(Allahumma Taqabbal Minnee Kama Taqabbalta Min Khaleelika Ibraheema Alaihissalatu WasSalaamu Wa Habeebika Muhammadin ﷺ )【5】
Agar Dusre Ki Taraf Se Qurbani Kare To مِنّیِ (Minnee)
Ke Bajaye مِن (Min) Keh Kar Uska Naam Lijiye
(BaWaqt e Zabah Pet Par Ghutna Ya Pair Na Rakhiye Ke Is Tarah Kabhi Khoon Ke Alawa Khana Bhi Nikalne Lagta Hai)
*_Tarjuma-*
【1】 Maine Apna Muh Iski Taraf Kiya Jisne Aasman o Zameen Banaye Ek Usi Ka Hokar Aur Mai Mushriko’n Me Nahi (Suarah AnAam)
【2】 BeShak Meri Namaz Aur Meri Qurbaniya’n Aur Mera Jeena Aur Mera Marna Sab Allah Ke Liye Hai Jo Rab Saare Jahaan Ka (Surah AnAam)
【3】 Uska Koi Shareek Nahi Mujhe Yahi Hukm Hai Aur Mai Musalmano’n Me Hu’n
【4】 Aye Allah Tere Hi Liye Aur Teri Di Hui Taufeeq Se. Allah Ke Naam Se Shuru Allah Sab Se Bada Hai
【5】 Aye Allah Tu Mujh Se (Is Qurbani Ko) Qubul Farma Jaise Tune Apne Khaleel Hazrat e Ibraheem Alaihissalam Aur Apne Habib Muhammad ﷺ Se Qubul Farmayi
One comment
Pingback: Qurbani Ke Mutalliq Galat Fehmiya'n Aur Unki Islah • IslamiShariat.com