Home / Fiqah / Mutafarriq' Masail / Qurbani Ke Mutalliq Aksar Puchhe Jane Wale Suwalat Ke Jawab

Qurbani Ke Mutalliq Aksar Puchhe Jane Wale Suwalat Ke Jawab

1) Suwal:
Qurbani Kise Kehte Hain?

Jawab:
Makhsus (Khas) Janwar Ko Makhsus (Khas) Waqt Me Allah Ki Bargah Me Qurb Hasil Karne Ke Liye Ya Neki Ki Niyat Se Zabah Karna Qurbani Kehlata Hai
📚 Durr e Mukhtar

 

2) Suwal:
Qurbani Ka Sharai Hukm Kya Hai ?

Jawab:
Qurbani Kabhi Wajib Hoti Hai Aur Kabhi Sirf Sunnat o Nafl Hoti Hai
📚 Eid e Qurba’n

 

3) Suwal:
Qurbani Kis Par Wajib Hoti Hai ?

Jawab:
Har Musalman Mard o Aurat Jo Balig Ho, Muqeem Ho (Yani Musafir Na Ho), Malik e Nisab Ho Aur Aazad Ho To Us Par Qurbani Wajib Hoti Hai
📚 Hidaya

Note: Is Se Maloom Hua Ke Qurbani Us Par Wajib Jis Ke Andar Darj e Zail (Niche Di Hui) 5 Sharait Payi Jaye’n,
1- Musalman Hona
2- Muqeem Hona (Yani Musafir Na Ho)
3- Aazad Hona (Yani Gulam Na Ho)
4- Balig Hona
5- Malik e Nisab Hona

 

4) Suwal:
Agar NaBalig Maldar Ho To Kya Us Par Qurbani Wajib Hogi ?

Jawab:
NaBalig Agarche Maldar Ho, Us Par Qurbani Wajib Nahi Hogi
📚 Durr e Mukhtar, Fatawa Razviya, Bahar e ShariAt

 

5) Suwal:
Kya Aurat Par Qurbani Wajib Hogi ?

Jawab:
Agar Aurat Musalman, Balig, Muqeem, Aazad Aur Malik e Nisab Ho To Mard Ki Tarah Us Par Bhi Qurbani Wajib Hogi
📚 Durr e Mukhtar

 

6) Suwal:
Qurbani Wale MasAle Me Malik e Nisab Hone Ka Kya Matlab Hai ?

Jawab:
Qurbani Wale MasAle Me Malik e Nisab Hone Ka Matlab Ye Hai Ke Qurbani Ke Dino Me Us Shakhs Ke Paas Sadhe Saat Tola Sona (Gold) Ya Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ya Itni Chandi Ki Maliyat Ke Barabar Raqm Ya Itni Chandi Ki Maliyat Ke Barabar Maal e Tijarat Ya Itni Chandi Ki Maliyat Ke Barabar Haajat e Asliya Se Zyada Saman Ho Aur Us Par Itna Qarza Na Ho Ke Jis Ko Ada Karne Ke Baad (Upar Bayan Kiya Hua) Nisab Baqi Na Rahe
📚 Bahar e ShariAt

 

7) Suwal:
Haajat e Asliya Se Kya Murad Hai ?

Jawab:
Haajat e Asliya Se Murad Wo Chize’n Hain Jin Ki Amuman (Aam Taur Par) Insan Ko Zarurat Hoti Hai Aur Unke Bagair Guzar Auqat (Guzare) Me Shadeed Tangi Aur Dushwari Hoti Hai
Jaise Rehne Ka Makan, Pehenne Ke Kapde, Sawari (Moter Cycle, Gadi/Car Wagairah), Ilm e Deen Se Mutalliq Kitabe’n, Peshe Ke Mutalliq Auzar, Khanadari (Ghar Girahsti) Ka Zaruri Saman Wagairah
📚 Bahar e ShariAt

Note: Haajat e Asliya Ki Tareef Par Gaur Karne Se Maloom Hoga Ke Darj e Zail (Niche Di Hui Chize’n) Haajat e Asliya Me Dakhil Nahi Hongi Aur Agar Inki Ki Qimat Deegar Nisab Ki Chizo’n Ke Sath Mil Kar Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Ke Barabar Ho Gayi To Qurbani Wajib Ho Jayegi,
Jaise
1- Decoration Pieces
2- Sceneries (scenery)
3- Saal Bhar Bilkul Istemal Na Hone Wale Bartan
4- Saal Bhar Bilkul Istemal Na Hone Wale Kapde
5- Zarurat Se Zyada Bilkul Na Istemal Hone Wala Makan, Wagairah Wagairah

 

8) Suwal:
Kya Maqrooz (Qarzdar) Par Qurbani Wajib Hoti Hai ?

Jawab:
Agar Maqrooz (Yani Jis Ke Zimme Logo Ka Qarz Ho) Ke Paas Maujud Kul (Total) Nisab Me Se Qarz Ko Nikal Kar Itna Maal Baqi Bache Jo Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Ke Barabar Ho To Qurbani Wajib Hogi Aur Agar Qarz Ko Nikalne Ke Baad Itna Maal Baqi Na Bache To Qurbani Wajib Na Hogi
📚 Fatawa Aalamgiri

 

9) Suwal:
Agar Koi Shakhs Sahib e Nisab Ho Lekin Usne Sabiqa (Pichhle) Kisi Saal Me Zakat Na Di Ho Ya Sabiqa (Pichhle) Kisi Saal Qurbani Na Ki Ho To Agar Us Ki Sabiqa Saal Ki Zakat Ya Sabiqa Saal Ki Qurbani Ke Janwar Ki Qimat Ko Us Ke Maujuda Nisab Me Se Nikala Jaye To Ab Nisab Baqi Nahi Bachta To Kya Ayse Shakhs Par Qurbani Wajib Hogi Ya Wajib Nahi Hogi ?

Jawab:
Ayse Shakhs Par Qurbani Wajib Na Hogi Lehaza Ye Pehle Sabiqa Saal Ki Zakat Ada Karega Aur Agar Qurbani Nahi Ki Thi To Pehle Sabiqa Saal Ki Qurbani Ki Taraf Se Zinda Janwar, Sharai Faqeer Ko Sadqa Karega
📚 Aam Kutub e Fiqh

 

10) Suwal:
Kya Sharai Musafir Par Qurbani Wajib Hoti Hai ?

Jawab:
Sharai Musafir Par Qurbani Wajib Nahi Hoti
📚 Hidaya

Note: Sharai Musafir Wo Hai Jo Sadhe 57 Meel (Yani Taqriban 92 Kilometres) Door Jane Ke Irade Se Apne Shahar Ki Hudood (Had) Se Bahar Nikal Gaya Ho Ya Itne Fasle (92 Kilometres) Par Kisi Jagah Pahuch Kar 15 Dino Se Kam Theherne Ki Niyat Ki Ho
📚 Fatawa Razviya, Eid e Qurba’n

 

11) Suwal:

Agar Kisi Ke Paas Sirf Ek Tola Sona (Gold) Ho To Kya Us Par Qurbani Wajib Hogi ?

 

Jawab:

Agar Kisi Ke Paas Sirf Ek Tola Sona Ho Aur Us Ke Paas Is Ke Alawa Koi Aur Haajat e Asliya Se Zyada Maal Na Ho To Qurbani Wajib Na Hogi Agarche Ek Tola Sone (Gold) Ki Qimat FiZamana Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Se Zyada Banti Hai

AlBatta Agar Ek Tola Sone (Gold) Ke Sath Us Ke Paas Koi Haajat e Asliya Se Zyada Maal Ho Jaise Kuchh Rupaye Ya Izafi (Faltu) Bartan, Kapde Wagairah Ho To Us Par Qurbani Wajib Ho Jayegi.

Lehaza Jin Ke Paas Ek Tola Sona (Gold) Ya Chand (Kuchh) Tole Sona (Gold) Ho, Wo Is MasAle Ka Zarur Khayal Rakhe’n Ke Amuman Un Par Qurbani Wajib Ho Jati Hai Kyun Ke Sone (Gold) Ke Alawa Kuchh Na Kuchh Izafi Saman Zarur Hota Hai

📚 Aam Kutub e Fiqh

 

12) Suwal:

Agar Kisi Shakhs Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Apni Taraf Se Qurbani Karne Ke Bajaye Buzurgo’n Ki Taraf Se Qurbani Kare To Kya Ye Jaiz Hai ?

 

Jawab:

Agar Kisi Shakhs Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Apni Taraf Se Qurbani Karne Ke Bajaye Buzurgo’n Ki Taraf Se Qurbani Kare To Aysa Shakhs Apni Wajib Qurbani Chhodne Ki Wajah Se Gunahgar Hoga, Us Par Lazim Hai Ke Wo Apni Taraf Se Qurbani Kare Aur Buzurgo’n Ke Liye Karna Chahta Hai To Un Ke Liye Dusri Qurbani Ka Intezam Kare

📚 Fatawa FaizurRasool

 

13) Suwal:

Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Apni Taraf Se Qurbani Karne Ke Bajaye Apne Ma Baap Ki Taraf Se Qurbani Kar De To Kya Ma Baap Ki Taraf Ki Gayi Qurbani Durust Hogi Ya Nahi ?

 

Jawab:

Jis Shakhs Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Apni Taraf Se Qurbani Karne Ke Bajaye Apne Ma Baap Ki Taraf Se Qurbani Kar De To Unki Taraf Se Qurbani Durust Ho Jayegi Lekin Is Par Apni Taraf Se Qurbani Karna Wajib Thi Aur Isne Apni Taraf Se Qurbani Nahi Ki To Wajib Ko Chhodne Ki Wajah Se Gunahgar Hoga Aur Is Ke Sar Se Apni (Wajib) Qurbani Ka Bojh Nahi Utrega

📚 Fatawa FaizurRasool

 

14) Suwal:

Agar Koi Shakhs Malik e Nisab Ho Magar Us Ke Paas Naqd Raqm Na Ho To Kya Us Par Qurbani Wajib Hogi ?

 

Jawab:

Agar Koi Shakhs Malik e Nisab Ho Magar Us Ke Paas Naqd Raqm Na Ho Maslan Kisi Ke Paas Sadhe Saat Tola Sona (Gold) Hai Lekin Naqd Raqm Nahi Hai To Us Par Qurbani Wajib Hogi Lehaza Wo Ya To Sona Bech Kar Qurbani Kare Ya Kisi Se Qarz Le Kar Qurbani Kare

📚 Fatawa Razviya

 

15) Suwal:

Agar Kisi Ke Paas Aysi Zamin Ho Ke Jis Par Wo Kashtkari (Kheti-Badi) Karta Ho Aur Wo Zamin Us Ki Aamdani Ka Zariya Ho Aur Us Zamin Ki Qimat Nisab Ki Had Tak Pahuch Rahi Ho To Kya Us Par Qurbani Wajib Hogi ?

 

Jawab:

Agar Kisi Ke Paas Sirf Aysi Zamin Ho Ke Jis Par Wo Kashtkari (Kheti-Badi) Karta Ho Aur Wo Zamin Us Ki Aamdani Ka Zariya Ho Aur Us Zamin Ki Qimat Nisab Ki Had Tak Pahuch Rahi Ho To Us Par Qurbani Wajib Na Hogi

📚 Fatawa Razviya

 

16) Suwal:

Agar Kisi Ke Paas Computer Aur Laptop Wagairah Ho’n To Kya Ye Haajat e Asliya Me Shumar Honge ?

 

Jawab:

Agar Kisi Ke Paas Computer Aur Laptop Wagairah Ho’n Aur Wo Unko Farz Uloom Sikhne Ke Liye Istemal Karta Ho Ya Rozmarra Ke Istemal Me Lata Chahe Rozmarra (Daily) Ka Istemal Gharelu Ho Ya Karobari, To Ye Haajat e Asliya Me Shumar Honge Aur Agar Unka Gair Zaruri Istemal Karta Ho To Ye Haajat e Asliya Me Shamil Na Honge, Is Surat Me Un Ko Deegar Zaid (Zyada/Faltu) Saman Aur Maal Ke Sath Jama Kar Ke Unki Maliyat Ko Dekha Jayega, Agar Un Sab Ki Maliyat Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Tak Pahuch Jaye To Qurbani Wajib Hogi Warna Qurbani Wajib Na Hogi

📚 Mulkhisan Wa Murammaman Az Fatawa AhleSunnat, KitabuzZakat

 

17) Suwal:

Kya Sharai Faqeer Par Qurbani Wajib Hoti Hai ?

 

Jawab:

Sharai Faqeer Par Sirf 2 Surato’n Me Qurbani Wajib Hoti Hai,

1- Jab Faqeer Ne Qurbani Ki Mannat Mani Ho

2- Jab Faqeer Ne Qurbani Ki Niyat Se Janwar Kharida Ho

In Dono Surato’n Ke Alawa Faqeer Par Wajib Nahi Hoti

📚 Fatawa Aalamgiri

 

Note: Jo Sahib e Nisab Na Ho Wo Sharai Faqeer Kehlata Hai

 

18) Suwal:

Agar Sharai Faqeer Ke Paas Pehle Se Janwar Maujud Ho Aur Us Ne Us Me Qurbani Ki Niyat Karli To Kya Ab Qurbani Wajib Ho Jayegi ?

Jawab:

Agar Sharai Faqeer Ke Paas Pehle Se Ghar Me Janwar Maujud Ho Aur Us Ne Is Janwar Me Qurbani Ki Niyat Karli To Us Par Qurbani Wajib Nahi Hogi,

Ayse Hi Agar Usne Bahar Se Janwar Kharida Aur Kharidte Waqt Qurbani Ki Niyat Nahi Ki Thi Balke Baad Me Qurbani Ki Niyat Ki To Us Par Bhi Qurbani Wajib Nahi Hogi,

AlBatta In Dono Surato’n Me Agar Qurbani Karega To Nafl Ka Sawab Payega

📚 Fatawa Aalamgiri, Raddul Mohtar

 

19) Suwal:

Kya Haji Par Baqra Eid Ki Qurbani Wajib Hoti Hai ?

 

Jawab:

Agar Haji Muqeem (Yani Musafir Na Ho) Aur Maldar (Yani Sahib e Nisab) Ho To Us Par Baqra Eid Ki Qurbani Wajib Hoti Hai Aur Haji Muqeem Na Ho Balke Musafir Ho To Us Par Baqra Eid Ki Qurbani Wajib Nahi Hoti Agarche Maldar Ho

 

Note:

Baqra Eid Ki Qurbani Ka Haram Sharif Me Hona Zaruri Nahi Balke Apne Mulk Me Bhi Kisi Ko Keh Kar Karwayi Ja Sakti Hai AlBatta Is Me Din Ka Khayal Rakhna Hoga Ke Jaha’n Qurbani Honi Hai Waha’n Bhi Aur Jaha’n Qurbani Wala Hai Waha’n Bhi Dono Jagah Qurbani Ke Din Ho’n

📚 BehrurRaiq, Rafiqul Haramin

 

20) Suwal:

Qurbani Ke Fazail Kya Hain ?

 

Jawab:

Qurbani Ke Fazail BeShumar Hain Jin Me Se Baaz Ye Hain,

1- Har Baal Ke Badle Ek Neki Milegi

2- Qurbani Nekiyo’n Ke Palde Me Baroz Qayamat Rakkhi Jayegi

3- Qurbani PulSirat Ki Sawari Banegi

4- Qurbani Ke Khoon Ka Pehla Qatra Zamin Par Girte Hi Sare Gunah Muaf Ho Jayenge

5- Khush Dili Se Ki Gayi Qurbani Jahannam Ki Aag Se Rukawat Banegi

📚 Ibn e Maja, Ablaq Ghode Ke Sawar, AlMaujamulKabeer, Tibrani

 

21) Suwal:

Kya Sailab Zadgan (Sailab Ki Zad Me Aaye Hue) Par Qurbani Wajib Hogi Jabke Un Ke Paas Us Waqt Siwa e Zamin Ke Kuchh Nahi Aur Na Wo Qarz Le Sakte Hain ?

 

Jawab:

Jo Log Ayse Maflukul Haal Ho Gaye Ho’n Ke Un Ke Paas Rupaye Paise Na Ho’n, Sirf Pani Me Dubi Hui Zamine’n Ho’n Aur Kuchh Na Ho To Un Par Qurbani Wajib Na Hogi

📚 Mahnama Ashrafiya, August 2018

 

23) Suwal:

Kya Walid Apne NaBalig Bachcho’n Ki Taraf Se Qurbani Kar Sakta Hai ?

 

Jawab:

NaBalig Bachcho’n Ki Taraf Se Qurbani Karna Walid Par Wajib Nahi Lekin NaBalg Bachcho’n Ki Taraf Se Qurbani Karna Mustahab Amal Hai,

Lehaza Agar Karega To Sawab Payega

📚 Fatawa Aalamgiri

 

25) Suwal:

Kya Apne Balig Bachcho’n Aur Biwi Ki Taraf Se Qurbani Karna Dusrust Hai ?

 

Jawab:

Agar Koi Apne Balig Bachcho’n Aur Biwi Ki Taraf Se Qurbani Karna Chahe To Un Ki ijazat Ke Sath Qurbani Kar Sakta Hai Aur Bagair Ijazat Ke Nahi Kar Sakta.

 

Note: Ijazat Do Tarah Ki Hoti Hai,

1- Sarahatan (Yani Wazeh/Saaf Taur Par) Ijazat,

Balig Bachcho’n Ya Biwi Me Se Koi Wazeh Taur Par Keh De Ke “Meri Taraf Se Qurbani Kar Dijiye”

2- Dalalatan Ijazat,

Maslan Biwi Ya Un Bachcho’n Ki Taraf Se Qurbani Karta Hai Jin Ka Khana Peena Is Ke Paas Hota Hao To Wazeh Ijazat Ke Bagair Bhi Qurbani Ho Jayegi Kyun Ke Dalalatan Ijazat Payi Gayi

📚 Fatawa Razviya, Qurbani Ke Ahkam

 

26) Suwal:

Kya Huzur Nabi e Mukarram ﷺ Ki Taraf Se Qurbani Ki Ja Sakti Hai ?

 

Jawab:

Ji Haa’n ! Huzur Nabi e Mukarram ﷺ Ki Taraf Se Qurbani Ki Ja Sakti Hai Balke Huzur ﷺ Ke Wisal e Zahiri Ke Baad Hazrat AliulMurtaza RadiAllahuTaAalaAnh Ka Mamool Tha Ke Har Saal Ek Dumbe Ki Qurbani Apni Taraf Se Karte Aur Ek Dumbe Ki Qurbani Huzur ﷺ Ki Taraf Se Karte

📚 Sunan e AbuDauood

 

27) Suwal:

Qurbani Karne Wale Baaz Log Ye Kehte Hain Ke “Aaj Humara Roza Hai” Hum Qurbani Ke Gosht Se Iftar Karenge To ShariAt Me Kya Qurbani Wale Din Roza Hota Hai ?

 

Jawab:

Eid Ke Din Aur Us Ke Baad Mazeed 3 Din Ka Roza Rakhna Haram Hai (Yani 10, 11, 12 Aur 13 ZilHajjah Ke Roze Haram Hain), AlBatta Pehli Se 9vi ZilHajjah Ke Roze Bahut Afzal Hain, Us Par Qurbani Ho Ya Na Ho Aur Sab Nafl Rozo Me Behtar Roz e Arfa (Yani 9 ZilHajjah) Ke Din Ka Roza Hai.

Haa’n ! Qurbani Karne Wale Ke Liye Mustahab Hai Ke Eid Ke Din Qurbani Se Pehle Kuchh Na Kahaye, Qurbani Ka Gosht Pehle Khaye Magar Ye Roza Nahi Hai Aur Na Is Me Roze Ki Niyat Karna Jaiz Hai

📚 Fatawa Razviya

 

Note: To Logo Ka Is Tarah Kehna Ke “Aaj Humara Roza Hai” Se Murad Yahi Hota Hai Ke Wo Qurbani Se Pehle Kuchha Nahi Khayenge Aur Qurbani Hone Ke Baad Sab Se Pehle Us Ke Gosht Me Se Khayenge Magar Is Ko Roza Nahi Kehna Chahiye.

AlBatta Agar Kisi Ne Is Me Roze Ki Niyat Ki To Phir Wo Gunahgar Hoga

 

28) Suwal:

Agar Koi Qurbani Kar Raha Ho To Eidul-Adha Ka Chand Nazar Aane Ke Baad Kya Us Ke Liye Baal Aur Nakhun Wagairah Katna Mana Ho Jata Hai ?

 

Jawab:

Agar Koi Qurbani Ka Irada Rakhta Ho Chahe Wo Sharai Faqeer Ho Ya Malik e Nisab Ho, Us Ke Liye Baal Aur Nakhun Wagairah Katna Mana Nahi Hai AlBatta Us Ke Liye Afzal o Mustahab Ke ZilHajjah Ka Chand Nazar Aane Ke Baad, Murda Khal Aur Nakhun Na Kate Na Katwaye Take Hajiyo’n Se Mushabahat Ho Jaye Ke Wo Ehram Ki Halat Me Hajamat Nahi Banwa Sakte Take Qurbani Har Baal Aur Nakhun Ka Fidiya Ban Jaye

📚 MirAatul Manajeh

 

29) Suwal:

Kya Koi Aysi Surat Hai Jis Me Sharai Faqeer Jo Qurbani Ki IstetaAt Na Rakhta Us Ko Qurbani Ka Sawab Mil Jaye ?

 

Jawab:

Ji Haa’n ! Agar Koi Faqeer e Sharai Qurbani Ki IstetaAt Na Rakhta Ho Aur Wo ZilHajjah Ke Pehle 10 Dino Me Baal Aur Nakhun Wagairah Na Tarashwaye Aur Namaz e Eid Ada Karne Ke Baad Baal Aur Nakhun Wagairah Tarashwale To InShaAllah ﷻ Use Qurbani Ka Sawab Milega

📚 Nasayi Sharif, MirAatul Manajeh

 

30) Suwal:

Agar Kisi Shakhs Ne 31 Din Se Kisi Wajah Se Baal Aur Nakhun Wagairah Na Kate Ho’n Aur ZilHajjah Ka Chand Nazar Aa Jaye To Kya Wo Baal Aur Nakhun Wagairah Na Katne Wale Fel e Mustahab (Mustahab Kaam) Par Amal Kar Sakta Hai ?

Jawab:
Agar Kisi Shakhs Ne 31 Din Se Kisi Wajah Se Baal Aur Nakhun Na Kate Ho’n Aur ZilHajjah Ka Chand Nazar Aa Jaye To Agarche Qurbani Ka Irada Rakhta Ho Wo Baal Aur Nakhun Wagairah Na Katne Wale Fel e Mustahab (Mustahab Kaam) Par Amal nahi Kar Sakta Kyun Ke Agar Wo Is Fel e Mustahab Par Amal Karega To Baal Aur Nakhun Wagairah Na Katwaye Hue 41wa Din Ho Jayega Aur MasAla Ye Hai Ke 40 Din Se Zyada Baal Aur Nakhun Wagairah Na Katwana Gunah Hai To Fel e Mustahab Ke Liye Wo Ye Gunah Nahi Kar Sakta
📚 Mulkhisan, Fatawa Razviya

 

31) Suwal:

Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho To Kya Wo Apni Taraf Se Ek Se Zyada Qurbaniya’n Kar Sakta Hai ?

 

Jawab:

Maldar Shakhs Par Ek Hi Qurbani Wajib Hoti Hai, Jab Ke Ek Se Zyada Qurbaniya’n Karna Us Ke Liye Nafl Hain, Lehaza Agar Ek Se Zyada Qurbaniya’n Karega To Sawab Payega

📚 Fatawa Razviya

 

32) Suwal:

Agar Kisi Ne Dusre Shakhs Ko Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Ke Barabar Qarz De Rakkha Ho To Kya Ayse Shakhs Par Qurbani Wajib Hogi ?

 

Jawab:

Agar Kisi Shakhs Dusre Shakhs Ko Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Ke Barabar Qarz De Rakkha Ho To Ayse Shakhs Par Lazim Hai Ke Qarz Khah (Qarzdar) Se Itni Raqm Ka Mutalba Kare Ke Jis Se Qurbani Ho Sake Jab Ke Us Ko Zann e Galib (Pukhta Guman) Ke Wo De Dega Aur Agar Qarz Khah (Qarzdar) Se Wo Raqm Qurbani Ke Ayyam (Dino) Me Na Mil Sake Aur Na Us Ke Paas Koi Aur Maal Ho Ke Jis Se Qurbani Ka Janwar Kharid Sake To Us Par Qurbani Wajib Nahi Aur Na Qarz Le Kar Qurbani Karna Lazim Hai Aur Na Hi Qurbani Ke Ayyam (Dino) Ke Baad Qarz Ki Raqm Wapas Milne Par Janwar Ki Qimat Sadqa Karna Lazim Hai

📚 Darul-ifta AhleSunnat BaHawala Fatawa Bazaziya, Fatawa Aalamgiri

 

33) Suwal:

Qurbani Wajib Hone Ke Liye Qurbani Ki 5 Sharto’n Ka Kis Waqt Me Paya Jana Zaruri Hai ?

 

Jawab:

Qurbani Wajib Hone Ke Liye Qurbani Ki 5 Sharto’n Ka 10 ZilHajjah Ke Tulu e Subh Sadiq Se 12 ZilHajjah Ke Gurub e Aaftab Tak Paya Jana Zaruri Hai

📚 Eid e Qurba’n

 

34) Suwal:

Agar Ibtidayi Waqt Me Qurbani Wajib Hone Ko Sharait Nahi Payi Gayi’n Magar Aakhir Waqt Me Payi Gayi’n Maslan Pehle 2 Din Sharait Nahi Payi Gayi’n Aur 3sre Din Payi Gayi’n To Kya Qurbani Wajib Ho Jayegi ?

 

Jawab:

Agar Ibtidayi Waqt Me Qurbani Wajib Hone Ki Sharait Nahi Payi Gayi’n Magar Aakhir Waqt Me Payi Gayi’n Maslan Pehle 2 Din Sharait Nahi Payi Gayi’n Aur 3sre Din Payi Gayi’n To Qurbani Wajib Ho Jayegi

📚 Fatawa Aalamgiri, Durr e Mukhtar Mae Raddul Mohtar

 

35) Suwal:

Agar Ibtidayi Waqt Me Qurbani Wajib Hone Ki Sharait Payi Gayi’n Magar Us Ne Qurbani Nahi Ki Yaha’n Tak Ke Aakhiri Waqt Me Qurbani Wajib Hone Ki Sharait Jati Rahi Maslan Pehle 2 Din Tak Sharait Payi Gayi’n Thi Aur Us Ne Qurbani Nahi Ki Aur 3sre Din Qurbani Wajib Hone Ki Sharait Jati Rahi To Kya Qurbani Muaf Ho Jayegi ?

 

Jawab:

Agar Ibtidayi Waqt Me Qurbani Wajib Hone Ki Sharait Payi Gayi’n Magar Us Ne Qurbani Nahi Ki Yaha’n Tak Ke Aakhiri Waqt Me Qurbani Wajib Hone Ki Sharait Jati Rahi Maslan Pehle 2 Din Tak Sharait Payi Gayi’n Thi Aur Us Ne Qurbani Nahi Ki Aur 3sre Din Qurbani Wajib Hone Ki Sharait Jati Rahi To Us Par Qurbani Muaf Ho Jayegi

📚 Fatawa Aalamgiri, Durr e Mukhtar Mae Raddul Mohtar

 

36) Suwal:

Agar Malik e Nisab Qurbani Ki Mannat Maan Le To Us Par Kitni Qurbaniya’n Wajib Hongi ?

 

Jawab:

Agar Malik e Nisab Qurbani Ki Mannat Maan Le To Us Par 2 Qurbaniya’n Wajib Ho Jayengi,

1- Ek Wo Jo Sahib e Nisab Par Wajib Hoti Hai

2- Dusri Wo Jo Mannat Ki Wajah Se Us Par Wajib Hui

📚 Durr e Mukhtar Mae Raddul Mohtar

 

37) Suwal:

Agar Koi Aysa Shakhs Jis Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Qurbani Ke Bajaye Kisi Ko Qurbani Ki Raqm De De To Kya Hukm Hai ?

 

Jawab:

Agar Kisi Shakhs Par Qurbani Wajib Ho To Us Par Qurbani Ke Dino Me Qurbani Karna Hi Lazim Hoga, Agar Wo Qurbani Ke Bajaye Kisi Gareeb Ko Qurbani Ki Raqm De Dega To Us Ka Wajib Ada Na Hoga Aur Wajib Ko Chhodne Ki Wajah Se Gunahgar Hoga

📚 Fatawa Aalamgiri

 

38) Suwal:

Agar Kisi Par Qurbani Wajib Na Ho To Us Ke Liye Qurbani Ke Dino Me Qurbani Karna Afzal Hai Ya Kisi Gareeb Ki Madad Karna ?

 

Jawab:

Agar Koi Sharai Faqeer Ho Aur Us Par Qurbani Wajib Na Ho To Phir Bhi Qurbani Ke Dino Me Kisi Gareeb Ki Madad Karne Ke Muqable Me Us Ke Liye Qurbani Karna Afzal Hoga,

 

Kyun Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya,

“Jo Rupaya Eid Ke Din Qurbani Me Kharch Kiya Gaya Us Se Zyada Koi Rupaya Pyara Nahi”

📚Maujamul Kabeee LitTibrani

 

39) Suwal:

Agar Bairun e Mulk (Mulk Se Bahar) Ho To Kya Wo Apne Aabayi Watan Me Kisi Ko Keh Kar Qurbani Karwa Sakta Hai ?

 

Jawab:

Chunke Qurbani Me Niyabat Jaiz Hai Lehaza Agar Koi Bairun e Mulk Ho To Apne Aabayi Watan Me Kisi Ko Keh Kar Apni Qurbani Karwa Sakta Hai

📚 Fatawa Aalamgiri

Note: Yaad Rahe Ke Jaha’n Qurbani Ho Rahi Ho Aur Jaha’n Qurbani Wala Ho Dono Jagah Qurbani Ke Din Ka Hona Zaruri Hota Hai

📚 Rafiqul Haramain

 

40) Suwal:

Agar Ghar Ke Chand Afrad (Logo) Par Qurbani Wajib Ho To Kya Ghar Ke Sarparast Ki Taraf Se Qurbani Kar Lena Kafi Hoga ?

 

Jawab:

Ji Nahi ! Agar Ghar Ke Chand Afrad Par Qurbani Wajib Ho To SabbKe Liye Qurbani Karna Lazim Hai, Sirf Ghar Ke Sarparast Ki Taraf Se Qurbani Kar Lena Kafi Nahi Hoga

📚 Qurbani Ke Ahkam

 

41) Suwal:
Agar Kisi Ki Qurbani Ka Janwar Current Lagne Ki Wajah Se Mar Jaye Ya Kisi Aur Wajah Se Mar Jaye To Us Ke Liye Kya Hukm Hoga ?

Jawab:
Agar Kisi Ki Qurbani Ka Janwar Current Lagne Ya Kisi Aur Wajah Se Qurbani Se Pehle Pehle Mar Jaye To Agar Wo Sharai Faqeer Ho To Us Par Naya Janwar Kharid Kar Qurbani Karna Lazim Nahi Hai Lekin Agar Maldar (Yani Sahib e Nisab Ho) To Janwar Ke Marne Se Qurbani Muaf Na Hogi, Us Ko Qurbani Ke Liye Dobara Naya Janwar Kharidna Hoga
📚 Durr e Mukhtar

Note: Jab Naya Janwar Kharida Jaye To Zaruri Nahi Hai Ke Jitne Ka Pehla Janwar Tha Ye Bhi Utni Maliyat Ka Ho

 

42) Suwal:
Agar Qurbani Ka Janwar Gum Ho Jaye Ya Chori Ho Jaye To Kya Hukm Hai ?

Jawab:
Agar Qurbani Ka Janwar Gum Ho Jaye Ya Chori Ho Jaye To Sharai Faqeer Par Dusra Janwar Kharidna Wajib Nahi Hai Jab Ke Maldar (Yani Sahib e Nisab) Par Naya Janwar Kharidna Wajib Hai
📚 Durr e Mukhtar

 

43) Suwal:
Agar Qurbani Ka Janwar Gum Hone Ya Chori Hone Ke Baad Sharai Faqeer Aur Maldar Dono Ne Naya Janwar Kharid Liya Aur Pehle Wala Janwar Bhi Mil Gaya To Kya Hukm Hai ?

Jawab:
Agar Qurbani Ka Janwar Gum Hone Ya Chori Hone Ke Baad Sharai Faqeer Aur Maldar Dono Ne Naya Janwar Kharid Liya Aur Pehle Wala Janwar Bhi Mil Gaya To Maldar Ko Ikhteyar Hai Ke Dono Me Se Jis Ek Ko Chahe, Qurban Kare Jab Ke Faqeer Par Wajib Hai Ke Dono Ki Qurbani Kare Kyun Ke Jab Bhi Sharai Faqeer Qurbani Niyat Se Janwar Kharidega, Us Par Us Kharide Hue Janwar Ki Qurbani Wajib Ho Jayegi
📚 Durr e Mukhtar, Fatawa Aalamgiri

 

44) Suwal:
Agar Kisi Malik e Nisab Ne Qurbani Ke Liye Janwar Kharida Aur Qurbani Se Pehle Wo Gum Ho Gaya Ya Chori Ho Gaya Ya Mar Gaya Aur Us Shakhs Ka Nisab Qurbani Ka Janwar Kharidne Ki Wajah Se Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Se Kam Reh Gaya To Kya Us Par Dobara Naya Janwar Kharid Kar Qurbani Karna Wajib Hai ?

Jawab:
Agar Kisi Malik e Nisab Ne Qurbani Ke Liye Janwar Kharida Aur Qurbani Se Pehle Wo Gum Ho Gaya Ya Chori Ho Gaya Ya Mar Gaya Aur Us Shakhs Ka Nisab Qurbani Ka Janwar Kharidne Ki Wajah Se Sadhe Bawan Tola Chandi (Silver) Ki Maliyat Se Kam Reh Gaya To Us Par Dobara Naya Janwar Kharid Kar Qurbani Karna Wajib Nahi Hai

AlBatta Agar Wo Janwar Gum Ho Gaya Tha Ya Chori Ho Gaya Tha Aur Qurbani Ke Dino Me Wo Mil Jaye To Phir Ye Shakhs Us Janwar Ki Qurbani Karega Aur Agar Wo Janwar Qurbani Ke Ayyam (Dino) Baad Mile To Phir Us Ko Zinda Hi Sharai Faqeer Ko Sadqa Kar De
📚 MulaKhkhisan Wa Murammiman Az Fatawa Aalamgiri

 

45) Suwal:
Kya Faut Shuda (Inteqal Kar Chuke) Musalman Walidain Ya Rishtedaro’n Ke Naam Ki Qurbani Ki Ja Sakti Hai ?

Jawab:
Faut Shuda (Inteqal Kar Chuke) Musalman Walidain Ya Rishtedaro’n Ke Naam, Eisal e Sawab (Isal e Sawab) Ke Liye Qurbani Karna Jaiz Hai Ke Qurbani Karna Kaar e Sawab (Sawab Ka Kaam) Hai Aur Aadmi Apne Har Nek Amal Ka Sawab Dusre Ko Pahucha Sakta Hai
📚MajmauuzZawaid, Fatawa Razviya

 

46) Suwal:
Agar Koi Sharai Faqeer Apne Faut Shuda Walidain Ya Kisi Rishtedar Ki Taraf Se Qurbani Karna Chahe To Kya Is Wajah Se Us Par Apni Qurbani Bhi Lazim Ho Jati Hai ?

Jawab:
Agar Koi Sharai Faqeer Apne Faut Shuda Musalman Walidain Ya Kisi Dusre Rishtedar Ki Taraf Se Qurbani Karna Chahe To Kar Sakta Hai Aur Is Ki Wajah Se Us Ke Upar Apni Qurbani Lazim Nahi Hoti
📚 Aam Kutub e Fiqh

 

47) Suwal:
Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho Magar Kisi Wajah Se Na Kar Sake Aur Qurbani Ke Din Guzar Jaye’n To Kya Hukm Hoga?

Jawab:
Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Kisi Wajah Se Qurbani Na Kar Sake Aur Qurbani Ke Din Guzar Jaye’n To Agar Us Ne Qurbani Ka Janwar Kharid Liya Tha To Use Zinda Sadqa Kar De (Yani Sharai Faqeer Ko DeDe) Aur Agar Qurbani Ka Janwar Nahi Kharida Tha To Ek Bakri Ki Qimat Sadqa Kar De
📚 Fatawa Aalamgiri

 

48) Suwal:
Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Qurbani Na Kare Yaha’n Tak Ke Dusri Baqra Eid (Eidul-Adha) Aa Jaye To Kya Wo Is Dusri Baqra Eid (Eidul-Adha) Par Pehli Qurbani Ki Qaza Kar Sakta Hai ?

Jawab:

Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Qurbani Na Kare Yaha’n Tak Ke Dusri Baqra Eid (Eidul-Adha) Aa Jaye To Is Dusri Baqra Eid (Eidul-Adha) Ke Mauqe Par Guzishta Saal (Pichhle Saal) Ki Qurbani Ki Qaza Nahi Kar Sakta Balke Ab Bhi Us Par Wajib Hai Ke Agar Pehli Qurbani Ka Janwar Kharida Hua Tha To Us Ko Sharai Faqeer Par Zinda Sadqa Kar De Aur Agar Pehli Qurbani Ke Liye Janwar Nahi Kharida Tha To Ek Bakri Ki Qimat Sharai Faqeer Ko Sadqa Kar De

📚 Fatawa Aalamgiri

 

49) Suwal:

Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Qurbani Ka Janwar Kharide Magar Us ki Qurbani Na Kare Aur Qurbani Ke Dino Ke Baad Us Janwar Ko Bech De To Us Ke Liye Kya Hukm Hai ?

 

Jawab:

Agar Kisi Par Qurbani Wajib Ho Aur Wo Qurbani Ka Janwar Kharid Le Magar Qurbani Na Kare Aur Qurbani Ke Dino Ke Baad Us Janwar Ko Bech De To Us Par Wajib Hai Ke Us Janwar Ko Jitne Ka Becha Hai Utni Qimat Sharai Faqeer Ko Sadqa Kar De

📚 Fatawa Aalamgiri

 

50) Suwal:

Agar Kisi Ne Qurbani Ke Liye Janwar Kharid Kar Us Ko Nafa Par Farokht (Fayde Par Bech) Kar Ke Us Se Sasta Janwar Qurbani Ke Liye Kharid Liya To Kya Hukm Hai ?

 

Jawab:

Agar Qurbani Ke Liye Janwar Kharidne Wala Sharai Faqeer Tha Aur Usne Qurbani Ki Niyat Se Kharida Tha To Us Par Usi Janwar Ki Qurbani Karna Wajib Thi Aur Us Janwar Ko Bechna Jaiz Nahi Tha Lehaza Wo Us Janwar Ko Bechne Ki Wajah Se Gunahgar Hoga Aur Jitni Raqm Pehle Janwar Se Bachi Hai Us Ko Sharai Faqeer Par Sadqa Karna Wajib Hoga,

 

Aur Agar Us Ko Kharidne Wala Malik e Nisab Tha To Us Ko Nafa Lene Ke Liye Bechne Ki Ijazat Nahi Thi Magar Ab Chunke Bech Chuka Hai Lehaza Jitni Raqm Pehle Janwar Se Izafi Bachi Hai Us Ko Sadqa Karne Ka Hukm Hai

📚 Fatawa FaizurRasool

 

> Jaari/Continue…………..

Leave a Reply